India

Railway ki janib se Sleeper Coach ko khatam karne ki tarded

By News Desk Roman Urdu

October 15, 2020

New Delhi: Railway ne aaj wazeh kardiya ke is ka kisi bhi Route par Sleeper Coach khatam karne ka koi mansoobah nahi hai. Railway Board ke chairman Vinod Kumar Yadav ne 130 kilometer fi ghanta ya is se ziyada raftaar wali Train walay raastoon par Sleeper Coach khatam kiye jane ki qiyaas araiyo ko khatam karte hue aaj kaha ke Sleeper Class Coach ko khatam karne ki jo qiyaas aaraiyan jari hain is mein koi sachaai nahi hai kyunkay yeh trains apni khidmaat anjaam deti rahen gi. Vinod Kumar ne yeh bhi wazeh kardeya ke kam rafter ki trains jin mein Sleeper Coach hon gi woh jin raastoon par trains 130 kilometer fi ghanta ki raftaar se chalein gi mojood rahen gi aur un mein koi tabdeeli nahi ki jaye gi.

Apna tafseelaat jari rakhtay hue Yadav ne mazeed kaha ke trains mein taiz huwa aur dhool ki wajah se Sleeper Class Coaches ke musafiron ko takleef hosakti hai kyunkay un trains ki raftaar 130 kilometer fi ghanta hoti hai. Yadav ne mazeed kaha ke Sornam Chatterjee par Delhi. Mumbai aur Delhi . Kolkata raastoon par 130 kilometer fi ghanta ke liye bunyadi dhancha teyaar kiya gaya hai. Guzashta July mein un raastoon par 130 kilometer ki raftaar se trains chalanay ki ijazat day di gayi hai. Trains ki raftaar batadreej badhai jaye gi.