India

Rahul Gandhi Ki Shehriat Par Sawal, Congress Mun Toadh Jawab Dainay Ke Liye Pur-Azm

By News Desk Roman Urdu

May 01, 2019

New Delhi: Sadar Congress Rahul gandhi ki shehriat par ab sawal Kiya ja raha hai jis par congress ne mun toadh jawab dainay ka elaan Kiya hai. Wizarat-e-dakhla ne congress sadar Rahul gandhi ko unki shehriat ke silsila mein sorat e haal ki wazahat karne ke liye un ko notice bheja hai .

wizarat-e-dakhla ke zaraye ke mutabiq BJP ke rukan-e-parliment Dr Subramaniyam Swami ne wizarat ko maktoob tehreer karte hue Rahul Gandhi ki shehriat ke baaray mein shikayat ki thi. wizarat ne shikayat ka notice letay hue Rahul gandhi ko unki shehriat ke baaray mein 15 din ke andar sorat e haal ki wazahat karne ki hadaayat di hai .

wizarat ke zaraye ke mutabiq notice mein Rahul gandhi se unki shehriat ke silsilay mein asal haqayiq wazeh karne ka Mutalba kiya gaya hai. Subramaniyam Swami ne apni shikayat mein kaha hai ke Rahul Gandhi 2003 mein Bartania ke Hampshire may waqay ek company ke Board of Directors mein shaamil they. Company 2005 ki aur 2006 mein dair salana return mein Rahul Gandhi ki tareekh-e-paidaiesh 19 June 1970 tehreer ki gayi hai aur unhon ne khodko Bartanwi shehri zahir Kiya hai. saal 2009 mein bhi isi company ke dastawizaat may Rahul Gandhi ko Bartanwi shehri bataya gaya hai. Dr Swami ne isi tanazur mein wizarat-e-dakhla ko yeh shikayat ki thi. Wizarat ne shikayat par karwai karte hue Rahul Gandhi ko notice bheja hai .

Doosri janib congress ne party sadar Rahul Gandhi ko ghair mulki shehriat ke muamlay mein diye gaye notice ko BJP ki qayadat wali Modi hukoomat ki election mein yaqeeni shikast ki mayoosi qarar dete hue usay tavajja hataane ki koshish qaraar diya aur kaha ke wizarat-e-dakhla ke is notice ka mun toadh jawab diya jayega. Congress media cell ke sarbarah Randeep Singh Surjewala ne yahan party headquarters mein press conference mein media numaindon ke sawalaat ke jawab mein kaha ke Wazeer e Azam Narendra Modi ko lok sabha intikhabaat mein 4 marahel ki raye dahi ke baad shikast ka ehsas hogaya hai is liye woh ghabrahat mein jhoot par jhoot bol rahay hain aur awam ki tavajja hataane ki koshish kar rahay hain. unhon ne kaha ke Supreme court ne Rahul Gandhi ki ghair mulki shehriat ke muamlay ko 2015 mein hi mustard kardiya tha lekin ab 4 saal baad gumrah karne ki koshish ki jarahi hai is liye is maslay ko uchala gaya hai. is mein kuch bhi sadaqat hoti aur thodi bhi haqeeqat nazar aati to yeh hukoomat 4 saal tak chup bethnay wali nahi thi lekin ab ghalat iraday se lok sabha intikhabaat ke darmiyan jaan boojh kar usay uchala ja raha hai .– YTN STAFF