Hyderabad

Rahul Gandhi ka Shaheedan e Telangana ko qhiraaj. TRS ne doodh se abhishek kardiya

By Abdul Aziz

August 14, 2018

Hyderabad. Sadar All India Congress Party Mr. Rahul Gandhi ne apne do roza daura e Hyderabad ke dosray din Gun Park waqay rubaroo Assembly imaraat pahonch kar “Yadgaar Shaheedan e Telangana” par Telangana Riyasat ki tashkeel ke liye shaheed honay walay jahedkaron ko qhiraaj paish kya aur un ki rawaangi ke fauri baad TRS ke qayideen ne yadgar ka doodh se abhishek kya. Mr.Rahul Gandhi ke ‘Yadgaar Shaheedan e Telangana’ pahonchney par barsar e iqtedar Telangana Rashtra Samiti ki talba tanzeem ke qayideen ne intibah diya tha jis ke paish e nazar Police ne security ke wasee tar intizamaat kiye thaiy. Mr. Rahul Gandhi aaj seh pahar Telangana ke party qaideen aur kaarkunon ki bhaari tadaad ke sath Gun Park pahonche aur Yadgar par phool malaayen paish ki aur Shaheedan e Telangana ko qhiraaj paish kya. Mr. Rahul Gandhi ne dosray din Hyderabad mein masroof tareen din guzara. Unhon ne talba ke sath bhi tabadlah khayaal kiya aur party ke qaideen ke sath dubado baat cheet ki aur un ke khayalat ki samaat ki. Sadar Congress ba zarea tayyarah Dehli wapsi se qabal Saroornagar Stadium mein Ek jalsa se bhi khitaab kiya. Sadar Congress Mr. Rahul Gandhi ke Yadgaar Shaheedan e Telangana ka daura karne ke baad barsar e iqtedar Telangana Rashtra Samiti ke qaayideen aur party se mulhiqa talba tanzeem ke qaayideen ne Yadgar ko doodh se dhoya. TRS qaayideen Mr.Rahul Gandhi ke wahan se rawana honay ke kuch dair baad Gun Park puhanche aur ‘Yadgar Shaheedan e Telangana’ ka doodh se abhishek kya. TRS qaideen ne aysa karte hue yeh taassur diya ke Sadar Congress Mr.Rahul Gandhi ke yahan pounchanay se ‘Yadgar Shaheedan e Telangana’ ki naqadri hui hai, is liye is ko pak karne ke liye doodh ka abhishek diya gaya. Rukn Parliament Mr. Balka Saman, Deputy Mayor Mr. Baba Fasiuddin, sargaram quied Mr. Muqeet Chanda aur kayi sargaram qaideen ne is abhishek mein hissa liya aur Mr. Rahul Gandhi ke yahan pounchanay par apni barhami ka izhaar kya. TRS qaideen ka yeh istadlaal tha ke Telangana ke sath sab se ziyada na insafi Congress ke hi daur mein hui hai. Alahda Telangana Riyasat ki tashkeel ke liye chalaye gayi dono tahrikaat ko Congress hi ne kuchalnay ki koshish ki thi jis ke nateeja mein sainkddon Telangana awam ko apni jaanun ka nazrana paish karna pada. TRS qaayideen ka kehna hai ke ab jabkay itni qurbanion ke baad Telangana haasil huwa, Congress Party, Telangana awam ki taayeed haasil karne Shaheedan e Telangana se apni hamdardi jatanay ki koshish kar rahi hai jo sirf aur sirf vote batorne ka Ek harba hai.