New Dehli: Congress ke sabiq sadar-o-rukan Parliament Rahul Gandhi aur un ki behan aur Party ki General Secretary Priyanka Gandhi Vadra ne Charshumba ke roz Tihar Jail poanch kar sabiq wazeer-e-khazana P. Chidambaram se mulaqaat ki.
Ye dora Congress ki aboori sadar Sonia Gandhi aur sabiq wazeer-e-Aazam Manmohan Singh ke Chidambaram se Jail mein milnay ke qareeb ek mah baad huwa hai. Party rehnumao ke mutabiq, Chidambaram, jo mutadid bimarioun mein mubtala hain, Pichlle 3 mah mein 10 Kelo Gram wazan kam kar chuke hain.
Center Beauro Of Investigation ( CBI ) aur Inforcement Directorate ( ID ) ke zareya Chidambaram ko INX Media ko ghair mulki Investment Promotion Board (FIPB ) ki manzoori dainay ke muamlay mein tafteesh ki ja rahi hai, jab Chidambaram wazeer-e-khazana thay.
Sabiq markazi wazeer ko 21 August ko CBI ne giraftar kiya tha aur phir inhen 5 September ko adalti tehweel mein bhaij diya gaya tha, baad mein inhen ID ne INX Media Case mein Money Laundering ke ilzaam mein giraftar kiya tha. –YTN STAFF