Hyderabad

Raheemuddin Ansari ne Urdu Academy ke sadar ki haisiyat se jaiza haasil karliya

By Abdul Aziz

September 05, 2018

Hyderabad. Janaab Mohammad Raheemuddin Ansari ney aaj ba haisiyat Sadar Urdu Academy apne ohda ka jaiza haasil karliya. Aik saada si taqreeb mein Janaab Mohammad Raheemuddin Ansari ke jaiza lainay ke umoor anjaam diye gaye. Secretary Urdu Academy Professor S.A Shukoor ney nau naamzad Sadar Acadamey ka isteqbaal kiya aur unhen ohda ka jayeza paish kya. Janab Raheemuddin Ansari ney iss mauqa par akhbaari numaindon se baat cheet karte huwe kaha ke woh apne sabiq tajrubaat ko barooaykar laatay huwe Urdu Academy ko uphar se yak fa-aal idaara mein tabdeel karne ki koshish karen ge. Unhon ney kaha ke maazi mein jab woh Urdu Academy ke sadar thae usss waqt bhi Urdu zabaan o adab ke farogh ke liye akhtraay Programme shuru kiye gaye thay jin mein ITO ke ishteraaq se ‘Aoo Urdu Seekheen’ Programme chalaya gaya jis se Mulk bhar mein ghair Urdu daan afraad ko ghar baithy urdu seekhnay ka mauqa mila tha. Unhon ney bataya ke un ke daur mein Urdu ki kayi ahem kitaaben shaya karne ka mauqa mila tha jin mein ‘muraqa Chuqtayee’ ki dobarah ashaat thi jis ke rasam ajra anjaam dete huwe is waqt ke Nayeb Sadar Jamhooria Hind janab Hamid Ansari ney kaha tha ke agar iss kitaab ki rehnomayi ke liye inhen kisi beroni mulk bhi madoo kiya jata to woh is mein shirkat karte. Janaab Raheemuddin Ansari ke hi daur sadarat mein ‘daftari eslehaath’ ki bhi pheli martaba taba-at amal mein aayi thi. Yahi nayi balkay 40 naye Urdu Computers qayim kiye gaye thay. Unhon ney bataya ke Urdu Academy ki scheme ko Ahsan andaaz mein ruba amal laya gaya tha. Janab Raheemuddin Ansari ney kaha ke un ki yeh khush qismati hai ke apni maadri zabaan ki khidmat ke liye inhen Telangana Riyasat mein Urdu Academy ke pahelay sadar ki haisiyat se naamzad kiya gaya hai. Un ki koshish hogi ke tamam Asnaaf mein Urdu zabaan ki taraqqi o tarweej ke liye kuch akhtraay iqdamaat kiye jayen. Unhon ney kaha ke maazi mein bhi unhen Urdu Adab se wabasta kayi ahem shakhsiyation aur Urdu Academy ke amlah ka bharpur taawun haasil tha aur tawaqqu karte hain ke aayindah bhi yeh jari rahay ga. Janab Raheemuddin Ansari ney inhen Sadar naamzad karne par Chief Minister Mr. K Chandrashekar Rao aur Sadar Majlis o Rukn Parliament Hyderabad Barrister Asaduddin Owaisi  se bhi izhaar tashakkur kiya. Is mauqa par janab Ziyauddin Nayyar Nayeb Sadar Kul Hind Taair millat, Janab Syed Ahmed ul Husaini Sayeeed al-Quadri, janab Muneeruddin Mukhtaar aur dosray maujood thae.