Hyderabad: IT ke wazeer ke T Rama Rao ne Rajna. Sirsala. Ki zilai intizamia ko hidayat di hai ke wo zila mein Coronavirus ke phelanay par qaboo panay ke liye koshishen taiz kar dein. Unhoun ne hukkaam ko hidayat di ke wo baday Groups mein kashtkaroun ki aamad se ko roktay huve dhaan aur deegar fasloun ki kharidari ke behtareen intizamaa karen.
Hyderabad se zilai hukkaam ke sath Tally Conference mein Rama Rao ne is Corona ke phelao ko roknay ke liye zilai intizamia ki janib se shuru kiye gaye hifazati iqdamaat ka jaiza liya. Unhoun ne un se kaha ke wo is baat ko yakeeni banaye ke 1032 afraad ju zelai mein Quarantine mein they 7 April tak kisi bhi haalat mein ghar se allag thalag rahen aur yahan tak ke Quarantine ehkamaat ki khilaaf warzi karne waloun ke Passport moattal kar dein.
Wo ye bhi chahtay hain ke ohdedar dehi ilaaqoun mein aagahi peda karen aur awam ko maloomat faraham karen taakay ye yakeeni banaye jasakay ke dosray azlaa ya dehaat se anay walay afraad ko ek muqarara muddat tak ghar mein awam se allag thalag rakha jaye. Reyasti wazeer ne zila Collector Kireshna Bhaskar ko hidayat di ke COVID- bohraan ke douran Eent bhatoun, Tamirati shobay aur Aab Paashi mansooboun mein kaam karne walay mazdooroun ki madad ke liye zurori iqdamaat karen. Khoraak aur rahaish ko yakeeni bananay ke alawa ohdedar mazdooroun ko zurori muft tibbi imdaad faraham karen. Unhoun ne mutaliqa ohdedaroun se mutalba kiya ke ghareeboun aur miskeenoun ko Annapurna Canteen ke zariye muft khana muhayya karen.
Rama Rao ne mutalba kiya ke zila bhar ke har gaon mein Sodium Hypochlorite ka chidkao kiya jaye, Jabkay har din safai ka kaam bhi kiya jaye. Unhoun ne kaha ke zilai intizamia sabzioun aur deegar ashyae zarorih ki qeematoun mein izafay par pabandi ke alawa ashyae zaroriya ki aasani se farahmi ko yakeeni bananay ke liye tamam zurori iqdamaat kere. Reyasti hukoomat ne Dhaan, Makayi aur deegar fasloun ki kharidari ke intizamaa karte huve, Ohdedaroun ko hidayat di ke wo tamam Market Yard band kar dein aur is ke bajaye, Har gaon mein chhootay chhootay kharidari marakaz kholnay mein aasani peda karen. Unhoun ne kasht karoun se darkhwast ki ke wo Token nizaam par amal karen aur apni pedawar ko kam se kam price ( MSP ) ke liye farokht karen. –YTN STAFF