Slider

Qovaat mudafat mein izafah ke liye khusoosi Chai ku tarjee

By News Desk Roman Urdu

August 03, 2020

Hyderabad: Khusoosi ajza ke sath banai gayi Chai jis ke zareya qowat mudafat mein izafah hota hai, talabb mein Covid-19 waba ke daur mein izafah huwa hai kyunkay zindagi ke mukhtalif shoba hayaat se talluq rakhnay walay afraad is terhan ki Chai ko tarjeeh day rahay hain. Corona ki waba neh tarz zindagi tabdeel kardiya hai aur is ka asar awam ul naas par choda hai. Isi douran qowat mudafat mein izafah ke liye tavajja markooz ki jarahi hai. Loog, Sadak ke kinare lagaye jaaney walay Chai ke Stalls se Chai, Kaafi, Ghizai ashya waghera ki kharidari mein khauf mehsoos kar rahay hain. Ye khauf Corona waba ke pesh-e-nazar dekha jaraha hai.

Is Infection ko daur karne aur qowat mudafat mein izafah ne ahem rule ada kiya hai aur kayi afraad ne is par ahem tavajja di hai. Cardon ki farokht mein bhi izafah dekha gaya hai aur logoun ki badi tadaad khushk adrak ke Powder se tayyar kardah Chai, Badam milk aur haldi wali Chai ko tarjeeh day rahay hain. Sadak ke kinare apni Chai ki dukaan laganay walay adrak, Elaichi, Kaali Mirch, Gud, Gannay aur Lemo wali Chai tayyar kar rahay hain aur un ke Stalls par Anti corona special Chai Cardoun ka board laga rahe hain. Hum aisay Chai ke Stalls Hyderabad ke ilawa azlaa mein bhi dekh satke hai.

Nizamabad Collectorate ke qareeb lagaye gaye aisay hi ek Stall ke maalik ki janib se bhi anokhay andaaz ki Chai farokht ki jarahi hai. Aisay loog jo apne gharon mein aisi khusoosi Chai ki tayari karne se qassar hain wo is Stalls par munhasir hain, Elawa azeen Collectorate ko apne mukhtalif kamon ke liye anay walay afraad bhi is Stalls se Chai khareed rahe hain. Chai ke Stall ke maalik ka kehna hai ke lockdown se pehlay kayi afraad is ki dukaan ko aaya karte they taham un lockdown ke amal ke douran sorat-e-haal is ke bar aks hogayi.

Taham is ney un ashya ke sath khusoosi Chai ki tayari ki jis ke nateeja mein gahkon ki tadaad mein izafah hogaya. Khushk adrak aur deegar ashya se tayyar ki gayi Chai ki sataish karte hue is Stalls ko anay walay afraad ney kaha kay naye tarz ki Chai gilaay ke liye bhi behtar hai. Unhoun ney kaha kay hamaray aaba-o-wajdad ney qudrati cheezon ko tarjeeh di thi taakay sahet behtar ho aur hum bhi is waqt is par amal kar rahay hain.