Doha : Qatar mein Saudi Arab sameit 4 Khaliji mumalik ki bani hui ashya ko farokht karne par pabandi aed kar di gayi hai. bain al aqwami khabar rasan idaara ke mutabiq Qatar ne Saudi Arab, mutahidda Arab amarat, bahrain aur misar se daraamad ki hui ashya ko farokht karne par pabandi aed kar di hai. jis ke baad un mumalik mein tayyar kardah tamam ashya ko Qatar bar aamad nahi kiya ja sakay ga. taham jo ashya airport, behri adon aur dukanon mein pehlay se mojood hain un ke hawalay se koi policy samnay nahi aayi hai. Qatar ki wizarat tijarat ki janib se tamam dkandaron ko jari kardah hukum naame ke mutabiq Saudi Arab sameit deegar Khaliji mumalik ki tayyar kardah ashya ko farokht karne par tadeebi karwai ki jaye gi is liye tamam tajir un mumalik ki ashya ki khareed o farokht se ijtinab brtin. is hawalay se wizarat tijarat ke ahelkaar aik aik dukaan ki jaanch partaal bhi karen ge . Qatar hukoomat ke tarjuman ka kehna hai ke jin Arab mumalik ki ashya par pabandi lagai gayi hai woh khaleej taawun council ( Gulf cooperation Council ) ke arakeen bhi hain jis ki wajah se un mumalik ko kayi tijarti mamlaat par istashna haasil hai. ab un mumalik ki masnoaat je ECC ki tijarti raahdaari se zurori jaanch partaal aur tareeqa car se guzray baghair Qatar mein daakhil nahi ho saken gi. wazeh rahay ke guzashta baras 5 June ko Saudi Arab, mutahidda Arab amarat, bahrain aur misar sameit saat Arab mumalik ne dehshat gardi ka ilzaam lagaakar Qatar se safarti taluqaat munqita karliye they. un mumalik ne Qatar ke tijarti aur safarti boycott ko mazeed sakht karte hue deegar mumalik se bhi Qatar ke khilaaf pabandion ki darkhwast ki thi.