Narayanpet: ( Nama Nigaar ) Narayanpet Mastaqar par Faizan Educational Welfare Society ne alhaj Khalil Ahmed Taj’ Janab Abdul Saleem Advocate’ Amiruddin Advocate ke ishtiraaq se shaoor baydaari seminar ka ineqad kiya gaya. Jis ka unwan qanooni shoba mein rozgaar ke mawaqay tha mojooda halaat mein muslim wukla ki ashad zaroorat hai. Unhoun ne talba o talbat par zor diya ke wo ziyada se ziyada qanoon ke Courses mein dakhla len. Janab Sajid Meraaj ne kaha kay Urdu medium ke talba bhi is se istifada kar saktay hain kyunkay Telangana riyasat mein Law-Cet Urdu zabaan mein bhi munaqqid kiya ja raha hai. Senior sahafi o Scholar Dr Tabraiz Hussain Taj ne apne khusoosi khitaab mein kaha kay insaan mein khud itmadi agar hoto wo har maidan mein kamyaab hoga. Unhoun ne qanooni shoba mein mojood rozgaar ke mawaqoun ko ujagar kiya jabkay nojawan qanoon daan Mohammad Adnan Saleem Qasmi ne khitaab karte hue jame andaaz mein dastoor hind shehrion ke haqooq aur faraiz par roshni daali. Unhoun ne kaha kay husool taleem Islam mein har mard o aurat par farz hai. Is par unhoun ne zor dete hue kaha kay sanjeedgi se koshish ki jati hai to aaj ke talba mulk ke behtareen qanoon daan ban satke hain. JNU Delhi ke Scholar Fazal Ur Rehman ne qanooni shoba mein mojood mukhtalif rozgaar ke mawaqoun ko behtareen andaaz mein talba ke samnay rakha. Jabkay is shaoor baydaari seminar se Abdul Saleem Advocate’ Amiruddin Advocate rukan baldia’ Mujahid Siddiqui ‘ Sarfraz Hussain Ansari’ o deegar muqarareen ne khitaab kiya. Seminar ka ekhtataam Noman Saleem ke shukriya se huva. Is shaoor baydaari seminar mein talba o talbat ki kaseer tadaad mojood thi. Intahi malomati seminar ke ineqad par talba mein kaafi musarrat dekhi gai. Baad azan janab Khalil Ahmed Taj ne Law-Cet mein numaya kamyabi haasil karne walay talba ko targheebi inaam dainay ka elaan kiya hai. Seminar Abdul Rahim A.R Mohammad Fakhar Uddin ‘ Fayaz Ahmed ‘ Junior Lecturer Abdul Saleem aur Hyderabad ke Scholar Mohammad Saif Uddin Taj o deegar mojood they. –YTN STAFF