India

Qanoon ki nazar may ayodhya may Babri Masjid thi aur qayamat tak rahegi : Maulana Arshad Madani

By News Desk Roman Urdu

November 16, 2019

New Delhi: Ayodhya Case se mutaliq Supreme Court ke faislay ka jaiza laine ke liye jamiat-ulama-e-Hind ke qaumi Working Committee ke ijlaas ke ekhtataam par, Chairman Jamiatul-ulma-e-Hind Maulana Arshad Madani ne kaha hai ke aadalat ka faisla samajh se baalatar hai. qanoon aur insaaf ki nazar may wahan Babri Masjid thi aur hai. aur qayamat tak Masjid hi rahegi, chahay is ko koi naam ya shakal na diya jaye“.

Maulana Arshad Madani ne kaha ke adalat ke faislay se ek baat wazeh hai ke Masjid kisi Mandir ko todh kar nahi banai gayi thi aur na hi kisi Mandir ke muqam par banai gayi thi. adalat ke is muamlay ki wajah se, musalmanoon par se ye daagh dhul gaya hai, jis may Mandir ko todh kar aur  Mandir ke maqam par Masjid banane ka ilzamaat lagaye ja rahay they.

Maulana Madani kaha ke Jumiat ne ek Panel tashkeel diya hai, jo haqayiq aur shawahid ki bunyaad par wukla aur mahireen taleem se nateeja akhaz kere ga ke is par dubara ghhor ki darkhwast dayer karna hai ya nahi“.

Maulana Arshad Madani ne adalat ke faislay ke baray may kaha ke ek terhan se adalat ye manti hai ke Masjid ke andar moorti rakhna aur phir usay todhna ghalat tha, is ke bawajood adalat ne ye zameen un logoun ko de di jinhoun ne Masjid may Moorti rakhi aur phir Masjid ko todh diya. adalat ki taraf se 5 aekar araazi ke muamlay may Madani ne kaha ke musalman kabhi bhi is araazi ke mohtaaj nahi rahai aur ye zameen adalat ne Sunni Waqf Board ko di hai aur mera mashwara hai ke Board is araazi ko qubool na kere“.

ek sawal ka jawab dete huve Maulana Madani ne kaha ke ”Babri Masjid ke muamlay ko bain-ul-aqwami adalat may le jana be-maine hai, adalat hamari hai, mulk hamara hai, aur hum Supreme Court ke faislay ka ehteram karte hain. hum mulk ke aeen aur qanoon ke mutabiq karwai karenge.

Maulana ne kaha ke ”Agar Masjid ko mismaar na kiya gaya hota to, kya adalat ye kehti ke Masjid ko todh kar Mandir taamer karna chahiye? hum mutmayeen hain ke adalat ne aiteraaf kiya hai ke Mandir todh kar Masjid nahi banai gayi, lekin afsos hai ke adalat ne shawahid aur haqayiq ke Bar khilaaf poori zameen Mandir ke liye dedi. Maulana ne kaha ke adalat ne Masjid inhedam ko ghair qanooni qarar diya aur usay qanoon ki khilaaf varzi qarar diya to phir is jurm may mulawis mujrimon ki rozana samaat honi chahiye. -YTN STAFF