Hyderabad : Purani gadiyoun ke shouqeen afraad ke liye buri khabar hai kyunkay ab purani gaadi rakhna aap ke liye mehanga shouq hosakta hai kyunkay mumkin hai ke kabeena is haftay ke aakhir mein apne aglay ijlaas mein gadiyon se mutaliq policy laayegi, jiski wajah se purani gaadi rakhna aur is se bhi ziyada masla tijarti gaadi rakhna mehanga hojayega aur agar gaadi ka maalik 15 saal baad apni gaadi dene par raazi hojaye to tax mein bhi chooth hogi.
Zaraye ke mutabiq wazeer-e-road Nitin Gadkari ke zareya ijazat diye janey ke baad kabeena ne purani cars ko rakhnay ke liye fees mein izafah kiya tha, taakay logoun ko nai gadiyon mein tabdeel karne ki targheeb di jaye. khangi four wheelers ( cars ) wali gadiyon ke liye, dobarah indraaj ki fees mein 25 guna izafah ke baad 600 se badha kar 15000 rupay kardi jasakti hai. karobari four wheelers ki gadiyon ke liye dobarah indraaj ki fees ko mojooda ek hazaar rupay se badha kar 20 hazaar rupay kiya jasakta hai.
Isi tarhan, darmiyani darjay ki commercial four wheelers gadiyaan apni registration ki tajdeed ki fees ko 1500 se badha kar 40 hazaar rupay tak ada karengi. gadiyon ke malkaan jo apni purani gadiyon ko scrap karne par raazi hain inhen scrapage certificate mil jayega jo nai gadiyon ki kharidari par tax mein chooth haasil karne ke liye istemaal kiya jasakta hai aur usay qabil muntaqili banaya jasakta hai.
Ohdedaron ne kaha ke is scrapage policy Automobile sanat ke muharrak package ki madad karegi aur car-sazoun ne nai gadiyon khusoosan truck ki maang paeda karne ki tajweez paish ki thi. rawan saal augst mein commercial gadiyon ki farokht mein 38.71 feesad kami waqay hui. is saal July mein pehli martaba tayyar kardeh qanoon musevida jo ibtidayi tor par laazmi scrapage ke qanoon ki manzoori ke liye banaya gaya tha, mutadid tarmeemoun se guzar chuka hai aur ab 15 din qabal gadkari ne unki manzoori dedi tab se, woh mukhtalif wazaraton mein secretary satah ke ohdedaron ke zareya pari kabeena ki jaanch padtaal ke door se guzray hain. –YTN STAFF