Hyderabad

Purana shehar Hyderabad mein Rakkhi tehwar par corona ka asar

By News Desk Roman Urdu

July 20, 2020

Hyderabad: Behan aur Bhai ke atot bandhan ki alamat manay jaaney walay Rakkhi tehwar par corona ka assar dekha gaya. Hyderabad ke purana shehar mein is ki zor o shor se tayyariyan ki jati theen. Rang barangi Rakhiyoun ki dukanat sajai jati theen. Is tehwar ki aamad se chand mah pehlay hi un ki tayari ka kaam shuru kya jata hai taham un ki tayari ke baad un ko bhejnay ke liye transport ki sahoolat nah honay se tajereen fikar mand hain.

Anay walay mah ke pehlay hafta mein honay walay is tehwar ke liye Retailer Rakhiyoun ki kharidari nahi kar rahay hain jis ke nateeja mein purana shehar ke Wholesale Dealers mushkilaat ka saamna kar rahay hain. Purana shehar mein kayi qisam ki rakhioun ki tayari ka kam kya jaraha hai jin mein Designer, Fancy, Chhootay bachoun ke liye Cartoon Rakhiyoun ki tayari ka kaam kya jaraha hai. Har saal ki terhan is saal bhi khoob soorat rakhiyoun Market mein dekhi jarahi hain. Tajereen ka kehna hai ke tamam shoba jaat par corona ka asar dekha gaya aur rakkhi ke kaarobar par bhi is ka asar dikha gaya.