Sharjah: IPL mein zabardast karkardagi ka muzahira karne wali Rajasthan Royals aur Kings Xi Punjab ki teams ke darmiyan itwaar ko ek shandaar muqaabla mutawaqqa hai jabkay Rajasthan ke wicket keeper Sanju Samson aur Punjab ke Lokesh Rahul ke darmiyan sakht muqaabla dekhnay ko miley ga.
Rajasthan aur Punjab ki teamon ne apne pichlle muqablon mein fatohat haasil ki hain aur dono teams kamyabi ke silsilay ko barqarar reknay ki koshish karen gi. Rajasthan ne Tournament ke apne pehlay match mein runner up Chennai Super Kings ku 16 runs se shikast di jabkay Punjab ki team ne Royal Challengers Bangalore 97 runs ke baday barq se shikast di thi. Dono teams jeet se pur josh hain aur aglay match ke liye tayyar hain.
Punjab 2 muqablay mein ek jeet aur shikast ke sath 2 nishanaat haasil karkay table mein dosray maqam par hai jabkay Rajasthan ki team 1 jeet ke sath chouthay number par hai. Punjab ka yeh teesra aur Rajasthan ka dosra match hoga. Rajasthan ke Samson ne Chennai ke khilaaf sirf 32 gaindon mein ek chokay aur 9 chakkon ki madad se shandaar 74 run banaye thay jabkay Rahul ne Bangalore ke khilaaf 69 gaindon mein 14 chowkun aur 7 chakkon ki madad se not out 132 run ki jarehana Inning kheli. yeh Rahul ka behtareen score aur is IPL ki pehli century bhi hai.
Rajasthan ka apne dosray match se qabal hauslay buland hogaye hain ke team ke star batsman Jos Buttler ki Quarantine ki muddat mukammal hochuki hai aur woh aindah muqablay mein khailnay ke liye poori terhan tayyar hain. Rajasthan ki team intizamia ne bhi is ki tasdeeq kar di hai.
Jos Buttler ki wapsi Team mein Buttler ki mojoodgi se Rajasthan ki batting aur mazboot hogayi hai jo Punjab ke liye sakht challenge ban sakta hai. Rajasthan ke Brand Ambassador and Mentor Shane Warren bhi Mutahidda Arab Emarat pahonch gaye hain. Agarchay ab woh Quarantine mein rahen ge lekin un ki mojoodgi se team ke hauslay buland hue hain. Warn ki captani mein Rajasthan ne IPL ka pehla khitaab apne naam kiya tha.
Doosri taraf Punjab is muqablay se pehlay is Ground mein Rajasthan ke khilaaf 6 sala qadeem record se tehreek le sakta hai ke Sharjah mein 2014 mein Rajasthan ke khilaaf khailay gaye match mein usay jeet haasil hui thi.
Pichli martaba Rajasthan ke khilaaf khailay gaye muqablay mein Punjab ki team ne 7 wicket se jeet darj ki thi. Is match mein Rajasthan ne 5 wicketon par 191 runs banaye thay jabkay Punjab ne 3 wicket par 193 runs bana kar match jeet liya tha. Match mein Rajasthan ki taraf se Samson ne 52 aur Steve Smith ne not out 27 runs banaye jabkay Punjab ki taraf se Glenn Maxwell ne 89 runs ka score kiya tha. Jahan ek taraf Punjab is Record se pur josh hogi to wahein Rajasthan ko apni sabiq shikast ka badla lainay ka mauqa miley ga.
Rajasthan ki taraf se Chennai ke khilaaf pichlle muqablay mein Captain Smith ( 69 ) ne bhi shandaar Inning kheli thi aur Samson ke sath 121 runs ki badi shiraakat qaim ki thi. Rajasthan ke Top order ne shandaar khail ka muzahira kiya lekin un ka Middle Oder ladkhada gaya tha. Smith ko apne middle order ku mazboth karna hoga.