Hyderabad

PubG par pabandi ka mutalba zor pakadney laga

By News Desk Roman Urdu

April 09, 2019

Hyderabad: Maroof aur noujawanon mein maqbool aam mobile game PubG par batadreej pabandi ka mutalba zor pakadney laga hai jaisa ke kayi reyaston ki adalaton mein is game ke khilaaf pabandi Aayed karne ka mutalba karte hue darkhwasten daakhil ki gayi hain. Hyderabad ke ilaqay Malkajgiri mein 16 sala taalib-e-ilm ne angrezi ke imthehaan ki tayari ke bajaye online game khailnay par walida ki janib se sarzanish kiye jaaney par pankhe se latak kar khudkushi karli. is waqea ke baad bachay ke waalid ne PubG par pabandi ka mutalba kiya .

pabandi ke hamion ne muaqqaf ikhtiyar kiya hai yeh game khatarnaak had tak khailnay walay ki tavajja apni janib mabzol karkay rakhti hai. rawan saal March ke mahinay mein riyasat Maharashtra mein 2 nojawan rail ki partriyon ke qareeb apne phone mein game khailnay mein magan they ke train ki zad mein aakar halaak hogaye they .

PubG ko janoobi Korea ki company ne tayyar kiya tha jis mein khiladi ek jazeeray par utartay hain aur ek dosray ko mout ke ghaat utaartay hain. 2017 mein is game ko mutaarif karwaye jaaney ke baad se is ne duniya bhar se Crores logon ki tavajja haasil ki. guzashta saal decemeber ke mahinay tak is game ke sirf mobile ke liye 20 crore se zayed downloads hue .

Gujrat ke chand shehron mein pehlay hi is game par pabandi aed ki ja chuki thi. is pabandi ki wajah batatay hue hukoomat ne kaha tha ke is se awam pur tashaddud ho rahay hain aur talba ki tavajja school aur taleem se hatt rahi hai. is ke baad se gujrat mein 2 Douzen se zayed afraad pabandi ki khilaaf warzi karne par girftar ho chukay hain. gujrat ke zila Rajkot ke police commissionaire Manoj Agarwal ka maanna hai ke ziyada tar nojawanon ko jin par muqadma darj hai lekin koi sakht saza nahi ho sakti. mulzimaan ko adalat se qanoon ki paasdari ka intibah day kar raha kardiya jaye ga .

khayaal rahay ke Gujrat mein PubG ke khilaaf muhim ka aaghaz January mein hua tha jab riyasat ke mehakma taleem ne taleemi saal ke ekhtataam tak is game par pabandi ka mutalba kiya tha. PubG ki pabandi ka qanoon Hindustan ki wahid riyasat Gujrat mein hai taham deegar ilaaqon ke hukkaam bhi is hi tarha ke iqdamaat ka mutalba kar rahay hain .- YTN STAFF