Professor Fatima Begum, Professor Rehmatullah o deegar ka izhaar-e taaziyatHyderabad: Maulana Azad National Urdu University mein Social Work ke maaya naz ustaad, Muhaqiq aur musannif professor Hussain Yaseen Siddiqui aur Security Consultant janab Taher Ali ke intqaal par 2 alaheda taziyati nashistoun ke zariye kharaaj ada kiya gaya. Dono ka haal hi mein intqaal huwa hai. Aaj munaqidah taziyati nashist ko mukhatib karte hue professor Fatima Begum, Vice chancellor incharge nay kaha ke janab Mohammad Taher Ali waqt ke paband aur ek achay ensaan thay. Un se pehlay University mein koi Security Officer nahi tha.
Unhoun ne marhoom ki maghfirat aur lohahaqeen ku sabr e jameel ki dua ki.Professor SM Rehmatullah, Registrar Incharge nay kaha ke bator Security incharge janab Mohammad Taher Ali ki khidmaat na qabil faramosh hain. Wo nah sirf daftar mein apni zimma darion ko bakhoobi nibhate thay balkay zaroorat padney par mukhtalif mamlaat mein zaati tor par logoun ki madad kiya karte thay. Unhoun nay taweel arsay tak University ke Guest House mein reh kar 24 ghantay university ki khidmat injaam di. Police se mutaliq mamlaat mein wo hamesha madad karte thay. Janab MG Finance Officer nay kaha ke wo ek achay ensaan thay.
Halanke Diabetes ke mareez they phir bhi nihayat hi chaaq o choband nazar atay they. Professor Mohammad Faryaad ne karwai chillatay hue bataya ke wo bachoun ki taleem ke liye fikar mand rehtay they aur baday hi mukhlis insaan they. Is mauqa par Dr Jamaluddin Khan, Janab Hashim Ali Sajid, Dr Mohammad Mubasher Ahmed, Janab Abrar Ahmed, Janab Mohammad Faiz Ul Rehman, Janab p Habibullah, Janab MA Baari ne bhi izhaar taaziyat kiya aur mughfirat ki dua ki. Professor Abul Kalam, Proctor ne professor SM Rehmatullah se phone par izhaar taaziyat ki. Jabkay professor Abdul Al Azeem aur janab Mohammad Mojahed Ali bi Phone par izhar e taziyat ki.
Qabal azeen kul ( 21 July ) ko Professor Hussain Yaseen Siddiqui ki taziyati nashist munaqqid huvi. Professor Fatima Begum, Vice chancellor incharge ney kaha ke Professor Hussain Yaseen Siddiqui apne mazmoon ke jayyad Scholar they un ki kitaaben Social Work ke nisaab mein shaamil hain. Is se un ke kaam ki qader o manzilat ka andaza hota hai. Wo ek achay ensaan aur achay musannif they. Professor Fatima Begum ney International Media Center ko hidaayat di ke professor Hussain Yaseen Siddiqui par Documentary banai jaye. Professor SM Rehmatullah, Registrar incharge ne kaha ke professor Siddiqui ne Jamea Millia Islamia ke shoba Social work ko kaafi taraqqi di. Un ke unhi tajarbaat ke pesh e nazar manu ke shoba social work ke tashkili daur mein inhen yahan madoo kiya gaya. Jis ka khatir thuwa faida university aur shoba ko huwa.
Unhoun ne Sports aur Health Center ke farogh mein bhi numaya kirdaar ada kiya. Dr Mohammad Kaamil, Director incharge center For IT ne kaha ke un ka talluq Jamia Millia Islamia se raha hai. Wahan professor Siddiqui ne mukhtalif mushawarti Commission mein numaya khidmaat anjaam den. Sadar Officer Association janab Mohammad Mujahid Ali, Dr Badiuddin aur Dr Aisha Sadiqa ohdidaran Association ne bhi shirkat ki aur marhoom ki khidmaat ko kharaaj ada kiya.
Janab Faiz Ul Rehman o deegar mojood they. Jabkay professor Najam Ul Hasan, Professor Saneem Fatima, professor Shahid Raza, Janab P Habibullah, o deegar ne online shirkat ki. Nashist ke ekhtataam par 2 minute khamoshi manayi gayi. Is se qabal shoba Social work mein bhi professor Siddiqui ki taziyati nashist ka ineqad amal mein aaya. Jis mein shoba ke asateza ne shirkat ki.