Telangana

Prof Kodandaram ki Bhiknoor Toll Gate par giraftari

By Abdul Aziz

August 06, 2018

Nizamabad. Telangana Jana Samithi (TJS) ke sarbarah Professor Kodandaram ko peer ke din yahan Bhiknoor Toll Gate par Police ne is waqt hirasat mein le liya jab woh police ki janib se hirasat mein liye jarahay kisanon se mulaqaat karna chahtay they. Police ne unhen mutala kya ke zila mein qanoon zaabta e foujdaari ki dafaa 144 ko nafiz kardiya gaya hai aur unhen kisanon se mulaqaat karne ki ijazat nahi hai. Yahan yeh zikar karna zaroori hai ke aabpaashi ke liye SRPS ke pani ki ijrayi ke liye kisanon ka mutalba shadeed ehtijaj mein tabdeel hogaya. Armoor Sub division ke apne mawaziaat mein kisanon ke ehtijaj ke baayis Police ne dafaa 144 nafiz kar diya hai. Police jamiat ko saaray zila mein taiynaat kardiya gaya hai. Subah mein Professor Kodandaram ne Gun Park Hyderabad mein alahdah Telangana riyasat ke muhim jo Professor Jai Shankar ko un ki barsi ke mauqa par khiraaj e aqeedat paish kya.Is mauqa par khitaab karte hue Prof.Kodandaram ne ProfJai Shankar ke alfaaz duhraey ke ‘awam ko alhadah Telangana riyasat ki tashkeel ke baad bhi muhim chalana padega.’ Unhon ne kaha ke Tehreek Telangana ke samraat sab tak pohanchanay professor jiye Shankar ke maqsad ko poora karne ke liye har aik ko Tahrikaat chalana padega. Unhon ne kaha ke professor Jai Shankar ne Tehreek Telangana mein sanjeedgi aur jazba ke tehat hissa liya. Is se qabal TJS ke daftar mein Professor Jai Shankar ke portrait ko phoolmaala paish karkay khiraaj e aqeedat paish kya