India

Priyanka Gandhi ne shehriat tarmeemi Act ( CAA ) par Modi ko banea nishana

By News Desk Roman Urdu

December 14, 2019

New Delhi: Congress ki general secretary Priyanka Gandhi Vadra ne hafta ke roz mutanazia shehriat tarmeemi qanoon, 2019 ( CAA) par wazeer-e-aazam Narendra Modi par tanz kiya aur logoun se is ke khilaaf aawaz uthany ka mutalba kiya. Congress ke zair-e-ihtimaam, Ram Leela Maidan mein Bharat Bachao rally se khitaab karte hue Priyanka Gandhi ne kaha ”Ye qanoon mulk ki taqseem ka baais bane ga. Agar hum aawaz nahi uthae to, Mulk mazeed taqseem ho jayega. Agar aap mulk se mohabbat karte hain, To phir is ke khilaaf aawaz authaye“. Shehriat tarmeemi Act ka hawala dete hue, Priyanka Gandhi ne kaha ke ”is hukoomat mein aisay qanoon banee ja rahay hain, Jo ghair aaeni hin“.

Priyanka ne kaha ke ”akhbarun mein ya Bus stops par hum ishtihar dekhte hain Modi hai to mumkin hai ‎“Lekin haqeeqat ye hai ke Modi hukoomat mein pyaaz 100 rupiye fi kelo farokht ho rahi hai, be roz gari badh gayi hai, Maeeshat zawaal pazeer hai, Indian Airlines ko farokht kiya ja raha hai aur

15,000 kisanoun ne khud kashi karli hai. ye sirf Modi hukoomat ke tehat hi mumkin hai“.

Unnao esmatdarri ki mutasirah ke baray mein baat karte hue Priyanka ne apne waalid ko yaad kiya, Aur kaha ke ”Mere waalid ke khoon ki terhan, Unnao ki beti ka khoon mulk ke sath ghul mil gaya hai“. Unhoun ne muashi bohraan par hukoomat ko nishana banea aur kaha ke Modi hukoomat ke 6 saaloun mein maeeshat sirf neechay ki taraf gayi hai.

Priyanka ne mazeed kaha ke ”hamari maeeshat is trah se taraqqi kar rahi thi, Jis par duniya ne apni tavajja markooz kar di thi, Lekin Modi hukoomat ke 6 saaloun mein hamari maeeshat zawaal ka shikaar ho gayi hai, Loog rozgaar kho rahay hain, Factories band ho rahi hin“.

Is rally ka maqsad BJP hukoomat ki ”tafruqqa angeez“ Palicies ko ujagar karna hai. Is rally mein Manmohan Singh, Sonia Gandhi, Rahul Gandhi, Rajisthan ke Wazeer-e-Aala Ashok Gehlot, Madhya Pradesh ke wazeer aala kamal Nath, Chhattisgarh ke wazeer aala Bhupesh Baghel aur Congress ke deegar rehnuma shareek they. –YTN STAFF