New Delhi: Aam intikhabaat mein BJP aur iske chand umeedwaroun ki haeran kin kamyabi par pehlay hi shak vo shobhat zahir kiye jatay rahay hain aur khaas kar mutanazia umeedwaroun ki kamyabi ko aaj bhi mashkook nigaa se hi dikhajata hai lehaza ab isi zimn mein Pragya Thakur ki kamyabi ke khilaaf ek do ya teen nahi balkay 19 afraad adalat se rujoo hue hain.
Madhya pradesh high court mein 19 aisi darkhwasten dair ki gayi hain jin mein EVM ke tareeqacar par khadsha zahir kiya gaya hai aur aam intikhabaat mein Pragya Thakur sameit chand BJP rehnumaoun ki kamyabi ko challenge kiya gaya hai. un mein se 17 darkhwasten bunyadi tor par intikhabaat mein shikast bardasht karne walay congress umeedwaroun ne dair ki hain jabkay do darkhwasten riyasat ke raye dahindgaan ne dair ki hain.
Bhopal ke sahafi Rakesh dikshit ne ek voter ki hesiyat se darkhwast dair kar ke Pragya Thakur ke intikhab ko challenge kiya hai. unke wakeel Arvind shriwastav ne kaha ke darkhwast mein ilzaam lagaya gaya hai ke Pragya Thakur ne firqa waranah jazbaat ko bhadhkaya aur intikhab jeetnay ke liye unhoun ne na munasib rawayya apnaya tha. unhoun ne daawa kiya ke lok sabha intikhabi tasheer ki muhim ke douran Thakur ne mazhabi bunyaad par taqreerein ki awaami numaindagi qanoon ki dafaa 123 ki khilaaf warzi ki hai.
Deegar raye dahindgaan Raj Kumar chouhan ne darkhwast dair kar ke raast tor par BJP rukan-e-parliment Rati Pathk ki kamyabi ko challenge kiya hai. unhoun ne (EVM) ke tareeqacar par shak zahir kiya hai. chouhan ke wakeel Sanjay Agarwal aur Anuj Agarwal ne kaha, hamaray mu-akil ne kaha hai ke 23 May ko votes ki ginti ki shuruvaat ke din jab EVM machinoun ko khoola gaya to 99 feesad EVM ki batteries charge theen aur aisa maloom hota hai ke voton ki ginti ke douran sirf ek feesad EVM ki Batteries hi discharge hui theen, jo na qabil yaqeen hai.
Sanjay Agarwal ne kaha ke congress ke agent ghulaab singh ne is se pehlay election commission mein is baarey mein shikayat ki thi lekin koi karwai nahi ki gayi. iske alawa 17 nakaam umeedwaroun ne bhi high court mein apne darkhwasten dair ki hain. un mein congress ke rehnuma aur sabiq markazi wazeer Kanti laal bhuvaria bhi shaamil hain, jo rutlam se election haar gaye. Bhuvaria ne BJP rukan parliment gumaan singh damor ke khilaaf darkhwast dair kar ke un par kamyabi ke liye na munasib sar garmiyoun mein mulawis rehne ka ilzaam lagaya hai. deegar nakaam umeed waar ne apni darkhwaston mein EVM se chedh chadh ki shikayat ki hai. –YTN STAFF