India

Pragathi Nivedana ki tayyarion par pani phir gaya.

By Abdul Aziz

September 01, 2018

Hydairabad. Kuch dair ki taiz barish ney Telangana Rashtra Samithi ke kal munaqqid shudni ”Pragathi Nivedana” ke jalsa gaah ko tahess nahess kardiya. Aaj shaam hui kuch dair ki taiz barish aur toofaani hawaon se jalsa aam ke liye kiye gaye tamaam intizamaat par pani phir gaya hai. Jalsa gaah mein eistaada Chief Miister o Sadar TRS Mr. K. Chandarshekar Rao ke qad aawar kat oats zameen par dhair hogaye, banners aur hoardings ukhad gaye. jalsa gaah mein bichaya gaye qaleen bhi barish ke baais kharab hogaye aur shahnasheen ke taur par baneya gaya pindal bhi apni raunaq kho baitha. Jagah jagah pani jama hogaya hai. Jalsa gaah ko kal ke liye phir se tayyar rakhney ke liye mazdooron ko raat bhar kaam par maamoor kardiya gaya hai. zameen ko khushk karne ke bhi intizamaat kiye jarahay hain. jalsa ke aaghaz se qabl barish ki tabah karyon par sarkari missionaries bhi pareshan hogayi hai. sarkari afsaraan ko ab yeh dar lagney laga hai ke agar kal jalsa ke mauqa par isi tarha ki barish hogi to bhagdar mach janey ke khadshaat ko mustard nahi kiya ja sakta hai. Iss liye kal jalsa ke dauran barish honey ki soorat mein awam ki wapsi aur gadiyon ke phas janey ke baayis jo afratafri phailay gi iss ke baray mein ohdedar mutafakkir nazar arhay hain. Pragathi Nivedana ke jalsa gaah mein barish ki tabah karyon ki ittila pakar party ke senior qayedeen bashmool awaami numainday aur wuzraa bhi Kongara Kalan pahonchney lagey hain. Telangana Rashtra Samithi ka ye jalsa darasal riyasati hukoomat ka jalsa hai jo TRS ki chaar sala karkardagi ko awam ke samney paish karne ke liye munaqqid kya ja raha hai magar is jalsa ko kuch iss andaaz mein paish kya ja raha hai jaisay yeh TRS ki siyasi taaqat ka mazhar hai. Yeh bhi samgha ja raha hai ke Chief Minister KCR apni chaar sala karkardagi awam ke samney paish karne ke baad awam ka taaza khat e etemaad haasil karne ka elaan karenge aur sath hi woh Telangana Assembly ke liye apni party ke umeedwaron ka elaan kar dein ge.