TRS ke working saddar K.T Rama Rao ne markazi wazeer e dakhla Amit Shah ko mahswara diya ke woh pose nah marain balkay malik ki taamer mein taawun karne par Telangana ke awaam ka shukriya ada karen. Hyderabad ko global city mein tabdeel karne programme mein karobari baradri ke sath baat cheet karte hue unhon ne kaha amit Shah kal ayen ge aur kahin ge ke hum ne Telangana ko 1 laakh crore rupiye diye hein. mein bata raha hoon ke Telangana ne markaz 2. 72 crore diya. hamara paisa sarkon aur bijli ki shakal mein aap ke varansi, patna, gujrat ja raha hai. mein ne aapko diya – aap pose mat maro .
yeh batatay hue ke yeh alehadgi pasand agenda nahi hai, KTR ne kaha mujhe maloom hai ke hamein mulq ke railway, difaa, sarhadi tahaffuz, shumal mashriqi, Kashmir ko chalana hai. mein bashaour hindustani hon. yahan aakar pose mat maro ke aap ne mujhe kuch day diya hai woh to bohat mamooli hai jabkay Telangana ne is se ziyada apko diya hai. yahan pose mat maro hyderabad mein yeh nahi chalta .
logon se unhon ne mutalba kya ke siyahi laganay se qabal zara sochen. KTR ne kaha hum Telangana se hain, hum yahan rehtay hain aur hum yahan maringe . Hum Dehli se anay walay sayah nahi hain. faisla karen ke kya aap Dehli ke leader (BJP) ya gali ke leader (TRS) ko chahate hain? unhon ne kaha ke Dehli se anay walay log Telangana ke awam ko hindostan ki taamer mein un ke taawun karne par un ka shukriya ada karen. KTR ne kaha mein oppostion rehnumao ko khulay aam challenge karta hon ke woh policiyo aur maeeshat, mlazmton par humare sath behas karne ke liye ayen. mujhe yaqeen hai ke koi nahi aaye ga. woh sab jantay hain firqa waranah ikhtilafat peda karna aur bharkana is ke siwa un ke paas kuch nahi hai. Rohingya ke baray mein baat karte hue KTR ne kaha agar malik mein dar andaaz hain to, raksha mantri kya kar rahe hain? yeh BJP hukoomat ke chehray par aik tamancha hai