Dubai: Mutahidda Arab Emarat mein custom ohdedaroun ne pet mein chhupa kar Heere Smuggle karne walay Africi ko giraftar kar liya. It-tila-aat ke mutabiq mulzim 297 gram khaam heere smuggle karne ki koshish kar raha tha jin ki market mein qeemat 90 hazaar Americi Dollars hai. Is mulzim ke barey mein Emarati khufia agency ko ittila mili thi ke Africi mulk se heere smuggle karne ki mumkina koshish ki jayegi. Tafseelaat ke mutabiq sabiq ittila ke pesh e nazar Sharqa custom aur deegar Airports aur bandar gahoun ke ilawa zameeni custom chokioun ko bhi high alert jari kar diya gaya tha.
Heere smuggle karne ki ittila mlitay hi custom ohdedaroun ne Africi mulk se ane waloun ki kari nigrani shuru kar di. Doosri janib agencio ke ohdedar bhi apne zaraye se raabtey mein they jinhoun ne mulzim ke barey mazeed maloomat mlitay hi tamam tafseelaat se mehakma custom ko mutala kar diya. Security idaroun ko ittila mili thi ke heeron ka kaarobar karne wala ek Africi shehri badi miqdaar mein heere smuggle kere ga. Mulzim ki peshgi shanakht se custom ohdedaroun ko usay giraftar karne mein madad mil gayi.
Sharqa International Airport par mojood tamam idaroun ko mulzim ke barey mein ittila faraham kar di gayi thi. Doosri janib mulzim apne barey mein peshgi ittila se aalm tha. Immigration ohdedaroun ne Sharqa Airport par utartay hi mulzim ko hirasat mein le kar mehakma custom ke hawalay kar diya jahan is ke samaan ki tafseeli talashi li gayi lekin is mein se kuch bar aamad nah huva. Custom ke tarjuman ne kaha hai ke mulzim ke barey mein musadeqa ittila thi ke wo badi miqdaar mein heere smuggle kere ga lekin jab is ke paas se kuch bar aamad nah huva to is ka medical checkup kiya gaya.
Ultra sound ke zariye Africi shakhs ke pet mein mojood ghair mamooli thilyoun ka inkishaaf huva jis par tibbi team ne is ka maida saaf karne ki adwiyaat den. Mulzim ke pet se 3 plastic ke packet bar aamad hue jin mein khaam heere mojood they.
Heeroun ki miqdaar 297 gram batayi gayi hai jis ki market mein mojooda qeemat qareeban 90 hazaar Americi Dollar hai. Ibtidayi tehqiqaat mein mulzim ne bataya ke wo mutadid baar Dubai aa chuka tha taham smuggling ki ye is ki pehli koshish thi. Mulzim ne kaha ke is ne heere ek Africi mulk se apne 2 sathiyoun ke sath mil kar khareeday they jinhein wo mutahidda Arab Emarat is liye laya tha taakay inhen achi qeemat mein farokht kar sakay. –YTN STAFF