Slider

Pehli taa Naveen Jamaat ke Talba ko baghair Imtehanaat agli Jamaat mein taraqqi dainay par ghor

By News Desk Roman Urdu

April 09, 2020

Hyderabad: Lockdown ke nateejay mein School ke Talba ke taleemi saal mein ghair yakeeni sorat e haal payi jati hai. Mojooda sorat e haal ko dekhte huve, Mehakma School Education ko Classe pehli se Naveen Jamaat ke liye Summative Assessment ke ineqad ke darmain intikhab karna hai ya baghair kisi imthehaan ke barah e raast agli classe mein Talba ki taraqqi ka faisla karna hai.

Mehakma School Education ke zaraye ke mutabiq hukoomat mein alla satah par hukkaam Pehli taa Naveen Jamaat ke Talba ko baghair kisi imthehaan ke agli Classe mein taraqqi dainay ke tareeqa par tabadlah khayaal kar rahay hain. Dar haqeeqat riyasat mein nazar bandi koi hadd muqarrar nahi hai. Telangana State Council Of Educational Research and Training ne haal hi mein School ke tamam Regional Joint Directors ( RJDSE ) aur District Education Officers ( DEO) ko ek pegham bheja tha jis mein un se kaha gaya tha ke wo SAii ke tarz amal ko multawi karen jo 7 April se shuru hona tha.

RJDSE aur DEO’s se kaha gaya ke wo SAii ke ineqad ke silsilay mein mazeed ehkamaat ka intzaar karen. Walidain ke sath ijlaas 23 April ko munaqqid shedni tha jo Schools ka aakhri kaam ka din tha. Central Board Of Secondary Education ney pehlay hi se Satwen Jamaat ke Talba ko taraqqi dainay ka faisla kiya hai. Yahan tak ke Tamil Nado aur AP ki hukoomatoun ney is ke Talba ko Pehli Jamaat se Navee Jamaat tak taraqqi dainay ka faisla kiya hai. Is ke nateejay mein riyasat mein walidain ney mutalba kiya gaya ke baghair kisi imthehaan ke Talba ko taraqqi di jaye.

Chunkay Lockdown ki koi muddat mojood nahi hai, Lehaza hukoomat tamam Talba ko agli Classes mein taraqqi dainay ka faisla kar sakti hai. Mojooda sorat e haal mein talba imthehaan mein tavajja nahi day payen ge. Balala Hakkula Sangham ( BHS ) ke naib Pawan Kumar ney kaha ye tafseelaat faraham ki. Reyasti hukoomat se awwal taa naveen jamaat aur SSC ke imthehaan dono SAii ko mansookh karne aur sab ko taraqqi dainay par zor day rahi hai.

Telangana mein 1969 ke ehtijaj ke douran, Dasvin jamaat ke tamam talba ko baghair imthehaan ke agli Classes mein taraqqi day di gayi. BHS ke aizazi sadar Ajevat Rao ney kaha ke is mojooda sorat e haal mein hukoomat ko chahiye ke wo School ke tamam talba ko baghair imthehaan ke agli jamaat mein taraqqi dainay ka mutalba kere. –YTN STAFF