India

Pawan Kalyan honge Andhra Pradesh ke aglay wazer-e-aala : Mayawati

By News Desk Roman Urdu

April 03, 2019

Vishakhapatnam : Bahujan samaaj party  ki qaumi saddar Mayawati ne chaharshambe ko kaha ke  Pawan Kalyan in intikhabaat ke baad Andhra Pradesh ke aglay wazeer-e-aala baninge. unhoun ne yeh bhi kaha ke BSP,JSP, deegar jamaatoun ke sath azeem ittehaad ke sath riyasat mein hukoomat banayenge .

Mayawati ne Pawan Kalyan aur deegar ke sath media numaindon ko mukhatib karte hue kaha ke unka ittehaad assembly wo lok sabha dono intikhabaat mein kamyaab hoga. unhon ne kaha ke’ ‘ halaanke riyasat Andhra pradesh mein congress Barsar Iqtidaar thi magar koi taraqqi nahi hui. Mayawati ne kaha ke riyasat mein Andhra aur telangana ki taqseem ki wajah se taraqqi mein kami aayi hai .

BSP supremo ne kaha ke wazeer-e-aazam Narendra Modi ne riyasat ki taqseem ke waqt Andhra pradesh se kiye gaye wadon ko poora nahi kiya aur kaha ke riyasat ko khusoosi darja bhi nahi diya gaya. unhon ne logon se TDP leader Chandra babu naidu aur YSR Congress party ke leader Y S Jagan Mohan reddy ki baton ko nah sunnay, aur pawan Kalyan ke haq mein vote dainay aur inhen agla wazeer-e-aala bananay ko kaha .

Is mauqa par Pawan Kalyan ne kaha ke unka khawab mulk ke wazeer-e-aazam ki kursi par Mayawati ko dekhna hai. Telangana ke wazeer-e-aala ke KCR ke hawalay se pawan Kalyan ne kaha ke KCR ne dalito ko nai riyasat ka wazeer-e-aala bananay ke apne waday ko poora nahi kiya hai. Pawan ne kaha ke mulk ki awam ko dalit leader ko mulk ke wazeer-e-aazam ke ohday par Faiz karne ka mauqa mila hai .- YTN STAFF