IND VS AUS

Slider

Pant ne dhoni ka record todh diya

By News Desk Roman Urdu

January 19, 2021

Brisbane: Australia ke khilaaf series ke douran faisla kin test mein shandaar batting karne walay Rishabh Pant ba-hasiat wicket-keeper ek hazaar runs mukammal karne ki daud mein sabiq wicket keeper batsman MS Dhoni ka record tod diya hai.

Pant ne 27 test inning mein hazaar runs Mukammal karliye hain jis mein unka osat 40.04 hai jabkay isse qabal sabiq captain dhoni ne 32 test ining mein yeh sang mil uboor kiya tha. Australia ke khilaaf chouthay test ke aakhri din aaj Gabba mein Pant ko dhoni ka record tornay ke liye sirf ek run darkaar tha jisay unhon ne Patt Cummins ki ek gend par pal shot khailtay hue do runs ke sath mukammal kiya.

Dhoni aur Pant ke alawa Farooq engineer ne 36 inning, Wridhiman Saha ne 37 innings, nain mongya ne 39 innings, syed karmaney ne 45 ining aur Kiran morey ne 50 inning mein hazaar runs mukammal kiye hain.

Darin asna hindustani cricket team ke wicket keeper batsman hamesha ke liye khatam kardiya hai. Pant jinhon ne 138 gaindon mein na qabil taskheer 89 runs score karte hue australia ke khilaaf Hindustan ki 3 wicketon ki kamyabi mein kaleedi rule ada kiya jiski badolat hindustani team Brisbane mein Tareekh raqam karne ke alawa na qabil ye bas sinha ne kaha ke Pant ne is tarhan ki batting se tanqidon ka hamesha ke liye khatama kardiya hai kyunkay unhon ne intizamia aur captain ki janib se un par kiye jane walay bharosa ko qaim kardiya hai.