Rishab pant wicke keeping

Slider

Pant ko apni wicket Keeping par kaam karne ki zaroorat: Pointing

By News Desk Roman Urdu

January 08, 2021

Sydney: Australiyai sabiq captain Rickey ponting ne yahan teesray test ke ibtidayi din Rishabh Pant ki wicket Keeping par tanqeed karte hue kaha hai ke hindustani nojawan ne apne career ke chand dinon mein hi kisi dosray keeper se ziyada catch gira diye hain Keeping karne ki zaroorat hai.

Pant ne Australia ke opener ke 26 aur 32 runs par do catches chodh diye the. test cricket mein apne aaghaz ke baad se woh duniya ke kisi dosray keeper se ziyada catch chodh chuke hain.

Pointing ne cricket.com se guftagu karte hue kaha ke Pant ne apne career ke ibtidayi dinon mein hi kayi catches chodh diye hain aur mein samjhta hon ke inhen apni keeping par kaam karne ki zaroorat hai. Unhon ne kaha aaj ki ek (catch) jo bohat aasaan tha usay bhi Pant thaam nahi sakay. Pointing ne kaha ke aasaan wicket par pokoski Pant ki janib se chhodey gaye catches ka ziyada nuqsaan nahi pohanchaya hai warna hosakta tha ke woh ek century ya phir double century bhi score karjata. Pointing jo dehli capitals mein bhi Pant ke head coach hain unhon ne kaha ke yeh shayad Pant ke liye khush qismati ki baat rahi ke pokoski ne ek bada century  ya double century nahi banai.

Yaad rahe ke MS Dhoni ki test cricket mein subuk doshi ke baad Hindustan ko ek behtar wicket keeper ki talaash hai aur guzashta saal yeh umeed jaagi thi ke Pant ki aamad se yeh talaash khatam hojayegi lekin Pant ko bhi aazmaaya gaya lekin wicket keeper ka masla hal nahi ho raha hai kyunkay Pant ki batting jarehana hai to unki wicket Keeping mein nuqs hai jabkay saha ki wicket Keeping behtar hai to unki batting ziyada behtar nahi hai.