Ramallah: Palestini saddar Mahmoud Abbas ne Israel aur America ke sath dastakhat kardah tamam muahiday khatam karne ka elaan kiya hai. Tafseelaat ke mutabiq sadar Mahmoud Abbas ne ye elaan Ramallah mein hungami ijlaas ke douran kiya jo maghribi kinare ke baaz ilaaqoun ko zam kiye jaane ke Israeli mansooboun par ghor ke liye bulaya gaya tha.
Is elaan mein Israel ke sath security samjhote aur oosulu moahida shaamil hai jis mai 1993 mein dastakhat kiye gaye thay. Ye dramayi elaan itwaar ku halaf uthany wali nai Israeli hukoomat ki taraf se maqboza maghribi kinare ke hissoun ko zam kiye jaaane ke andie ke baad samnay aaya hai.
Yaad rahe ke Netanyahu shiraakat iqtidaar ke muahiday ke tehat daidh baras ke liye wazeer e azam banay hain aur Israeli wazeer e azam ne apni intikhabi muhim ke douran maghribi kinare ko Israeli khud mukhtari mein laane ka wada kiya tha. Ijlaas se khitaab karte huve Mahmoud Abbas ne kaha ke muahidoun ko khatam karne ka matlab ye hai ke Israel ko ab ek qaabiz taaqat ki hesiyat se bain ul aqwami zimma darioun aur faraiz ka boojh uthana hoga.
Palestini sadar ne America ko bhi shadeed tanqeed ka nishana banaya jis ne Donald Trump intizamia ke tehat Americi sefaratkhane ki Jerusalem muntaqili sameit Palestine ke khilaaf sakht muaqqaf ikhtiyar kiya. Unhoun ne mazeed kaha ke Palestine par honay walay zulm-o-setam ke liye Americi intezamia mukammal tor par zimma daar hai. Palestini awam ke khilaaf iqdamaat, Ghair munsifana faisloun aur har qisam ki jurhiyat par qaabiz Israeli hukoomat ke sath usay bhi bunyadi shiraakat daar samajte hain. –YTN STAFF