Trending News

Palestine mein lockdown, 2 Haftoun ke liye safar par pabandiyan

By News Desk Roman Urdu

July 13, 2020

Ramallah: Palestine hukoomat neh COVID-19 ke mamlaat mein musalsal izafay ke baais maqboza maghribi kinare mein curfew lagaya hai. Safri pabandioun ko sakht kardiya gaya hai. Media ke mutabiq Al-khalil, Beat Lahem, Ramallah aur Nablus ko 4 din ke liye mukammal tor par band kardiya gaya hai. Tamam Governorate ke darmain safar par 2 haftay tak pabandi rahay gi. Hukomati tarjuman neh ek bayan mein kaha ke virus ke philao ko roknay ke liye raat 8 se subah 6 bajey tak 2 haftay ke liye curfew nafiz rahay ga.

Ahteyati iqdamaat ke tehat tamam shehar, Dehaat aur panah guzeen camp jahan Covid-19 ke mamlaat port huve hain lockdown kiya jaye ga. Yaad rahay ke Palestine ilaaqoun mein 7 hazaar se zayed mamlaat ki tasdeeq hochuki hai. Ab tak 37 afraad halaak ho chukay. Wizarat sehat ke mutabiq itwaar ko 349 naye mamlaat samnay aaye hain jin mein se nisf Al-Khalil ke ilaqay mein hain.

Tarjuman ney bayan mein mazeed kaha ke hamein sahet ke hawalay se ek haqeeqi khatrah darpaish hai. Is waba ke phelao ko kam karne ke liye qaumi yakjahti aur hum ahangi ki zaroorat hai. Bayan ke mutabiq curfew ke douran Bakery aur Pharmacy kholnay ki ijazat hogi lekin shadi, Taziyati ijitmaat, Tehwar ya kisi bhi dosray ijitmaat ke ineqad par sakhti se pabandi hai. Hukoomat ney tamam Berber Shops, Beauty Parlors aur Sports Clubs ko band rakhnay ke bhi ehkamaat diye hain. Is saal Summer campon ke ineqad par bhi pabandi hai.