Slider

Palestine. Israel do reyasati Americi mansoobay ko Saudi ki himayat

By News Desk Roman Urdu

January 29, 2020

Riyadh: Saudi Arab ne Americi aman mansoobay ke tehat Israel aur Palestine ke darmain barah e raast baat cheet ki hosla afzai ki hai. Tafseelaat ke mutabiq Palestine sadar Mahmood Abbas ke sath Telephonic baat cheet mein Shah Salman ne is baat ki yaqeen dehani karwai hai ke Saudi Arab Palestine ke maslay ke hal aur Palestine ke haqooq dilanay ke liye pur azm hai.

Saudi Arab ki wizarat kharja ne apne ek bayan mein kaha hai ke Saudi Arab un tamam koshisho ki himayat karta hai jo Palestine ke muamlay ke hal ke liye ek munsifana aur jame faislay tak puhanche. Bayan mein kaha gaya hai ke Saudi Arab Israel aur Palestine ke muamlay par Trump intizamia ki tamam koshisho ko saraha hai.

Bayan ke mutabiq Israel aur Palestine kisi bhi terhan ikhtilaaf raye ko mazakraat ke zariye hal kere aur kisi bhi muahiday par pounchanay aman amal ko bhedhaye ke Palestini awam ko un ke jaaiz haqooq miley. Americi sadar Donald Trump ne mashriq wasti ke liye apne aman mansoobay ka elaan karte hue kaha ke mansoobah Israel Palestine tanaza ke liye haqeeqat pasandana do reyasati hal tajweez karta hai. Americi sadar Trump ne kaha hai ke hamara formula do riyasati hal ke tehat fariqain ko behtareen mauqa faraham kere ga.

Americi sadar ke bamujab mashriq wasti aman mansoobay ki badolat Palestinian ko dugna ilaqa miley ga aur un ki riyasat ke liye dar-ul-hukoomat bhi haasil hoga. Sadar Trump ne mazeed kaha hai ke Israeli wazeer e azam Benjamin Netanyahu ne mujh se kaha hai ke mujawaza mansoobah barah e raast mazakiraat ki bunyaad banay ga. Aman mansoobay ko Palestinian ke liye apni azad riyasat ke qiyam ke maqsad ko haasil karne ka tareekhi mauqa qarar dete hue sadar Trump ne kaha ke ye shayad Palestine ke liye aakhri mauqa ho sakta hai.

Americi sadar ne mazeed kaha ke Palestini tashadud aur ghurbat mein mubtala hain jin ka istehsal wo loog karte hain jo inhen dehshat gardi aur shiddat pasandi phelanay ke liye istemaal karte hain. Israeli wazeer e azam Benjamin Netanyahu ne kaha hai ke mansoobay ke tehat Palestini panah guzinoun ko Israel wapsi ka haq nahi hoga. Un ke mutabiq Palestinian ko Israel ko bator yahodi riyasat tasleem karna chahiye. –YTN STAFF