New Delhi: Markazi wazeer e difaa Rajnath Singh ney jumeraat ko kaha ke Mulk mein kabhi bhi koi shubhat ya khadshaat nahi they ke Kashmir Hindustan ka noon ka atot ang hai. Yeh baat Ladakh ke Leh mein munaqidah 26 ween Defence Institute of Higher Altitude Research. ke zair aytehmam Kisan, Jawan,Vigyan Mela mein bator maheman khusoosi shirkat ke baad is Mela ka iftitah anjaam dainay ke baad khitaab karte huwe kahi.
Unhon ney kaha mai Pakistan se poochna chahta hon, Kashmir kab Pakistan ka tha ke usay laiker rotay rehtay ho. .? unhon ney kaha ke Kashmir par Pakistan ka koi haak nahi hai. Doosri taraf, is ney PoK par ghair qanooni qabza kar liya hai. Unhon ney kaha ke ”hum Pakistan ke wujood ka ehtram karte hain, is ka yeh matlab nahi hai ke Pakistan musalsal Hindustan ke baray mein andha dhund tabsaray kar tarahe.
Rajnath Singh ney mazeed kaha ke ”kashmir hamesha se hi Hindustan ka hissa tha, aur Pakistan ka Kashmir par koi haq nahi hai. aur kaha ke Pakistan ko muqbuza Kashmir mein insani haqooq ki pamaliyon ke hal par tavajja dena chaniye. Wazeer e difaa ney mazeed kaha ke ”hum Pakistan ke sath achay dostana taluqaat rakhna chahtay heen, lekin pehlay usay Hindustan ke khilaaf dehshat gardi ka istemaal rokna chahiye.
Rawan mah ke shuruvaat mein riyasat Jammu o Kashmir ko do markazi zair intezam ilaqay banaye ja ney ke bad Wazer e dakhla ka Ladakh ka yeh pehla dora hai.
Wazeer e difaa apne doray ke douran Pakistan se darpaish khatraat ke paish e nazar khittay mein Security intezamat ka jaiza lenge.