Jurm

Paani mein mahsor Nalanda Hospital ke ICU mein mareez aur machhliyan

By Abdul Aziz

July 29, 2018

Hospital ke hukkam ney id-daa kya ke woh be bas hain chunkay barish ke mauqa par Hospital mein barsati Paani ka daakhil hojana daaiyemi masla hai.

Patna. Patna mein do dinon se jari taiz barish ney na sirf nashebi ilaaqon mein rehney walay makeeno ki mushkilaat ko sangeen banadiya hai balkay Nalanda Medical College and Hospital (NMCH) mein shareek mareezon ke la-haq khatrah ko bhi badha diya hai. Barish ka Paani hafta ki shaam Hospital ke ICU aur General wards mein dar aaya hai. Itwaar ke din ICU mein ghutnon barabar Paani tha jis mein tairti machhliyan aur hashrat ul arz bhi dikhayi dey rahay thay, jis ke baayes mareezon ke timardaaron aur nurses ke liye badi uljhanain paida hogyin. Hospital ke nurses aur neem-tibbi amlah ko mareezon ki nighdasht ke liye Paani se guzar kar jana pad raha tha. Kayi mareez ghair muthar halaat ke paish e nazar infection ke dar se Hospital chod kar chalay gay. Hospital ke hukkam ney id-daa kya ke woh be bas hain chunkay barish ke mauqa par Hospital mein barsati Paani ka daakhil hojana daayemi masla hai. Suprintendent NMCH Dr.  Andand Prasad Singh ney kaha ”hum Paani ko pump karte hue kharij karney ki koshish kar rahay hain jis ke liye teen ghantay darkaar hon ge. Nashebi ilaqa mein honay ki wajah se hamein har saal mutasir hona parta hai.” Dr. singh ney kaha ke beshtar mareezon aur un ke timaar-daaron ki janib se ihata mein dar aaye barsati Paani se badboo aane ki shikayat karney par ICU ke mareezon ko din mein dosray surgical ICU mein muntaqil kardiya gaya. ICU mein shareek aik mareez ke Timar daar ney kaha ”dekhen yeh jagah kis terha jahannum mein tabdeel hogayi. ICU jatay hue machhliyan aur keeday dikhayi dete hain. yahan saanp bhi ho saktay hain. aisi napak sorat e haal se mareez mazeed bemaar ho ja sakte hain.”