Trending News

Paalto Billi corona se mutasir

By News Desk Roman Urdu

July 28, 2020

London: Bartania mein ek paalto Billi mein coronavirus ki tasdeeq huvi hai jo ke mulk mein is waba ki lapait mein anay wala pehla janwar hai. Taham shoba sahet se talluq karne walay hukkaam ne kaha hai ke is ka koi saboot nahi ke ye janwar kisi aur ko virus muntaqil kere. Khabar-rasan idaray ke mutabiq Billi mein coronavirus ki tasdeeq is mahinay ke awail mein London ke qareeb mein honay walay lab test ke baad Bartania ke Chief Veterinary ohdedar ne ki.

Ohdedar neh kaha ke tamam mojooda saboot is baat ki taraf ishara karte hain ke Billi ko apne malkaan se coronavirus laga hoga kyunkay un mein is ki tasdeeq hui thi. Wizarat maholiyaat ki taraf se jari honay walay ek bayan ke mutabiq Billi ki taraf se koi khatrah nahi.

Bartania mein kisi janwar ko honay wala Coronavirus ka ye pehla musadeqa maamla hai, Taham is ka koi saboot nahi ke is janwar se bemari muntaqil hui ho. Ibtida mein janwaron ke ek niji Dr neh billi mein har pesh virus ki tashkez ki thi taham Billi ke namoonay ko Covid-19 ke liye test kiya gaya aur nateja musbit aaya.

Chief Veterinary Afsar Christine Middlemiss nah usay ek anokha waqay qarar diya aur kaha ke is baat ka koi saboot nahi ke janwar insanoun tak virus muntaqil kar satke hain. Bartania mein ye apni noiyat ka phela mamla hai taham deegar mumulik mein janwaron mein corona ki reports samnay aayi hain.