Hyderabad

Owaisi ne mohan Bhagwat ke, 2 bachoun ki policy se mutaliq bayan par ki shadeed mazammat

By News Desk Roman Urdu

January 19, 2020

Hyderabad: AIMIM ke sarbarah wo rukan-e-parliment hyderabad Asaduddin Owaisi ne RSS ke sarbarah Mohan Bhagwat par shadeed hamla kiya. Owaisi ne RSS ke sarbarah par mulk mein 2 bachoun ki policy laazmi banane  ke liye qanoon banane ke barey mein bayanaat dene  ka ilzaam aaed karte hue kaha ke ”NDA hukoomat bhi guzishta 5 saloun mein be-rozgari ke maslay ko hal karne mein nakaam rahi hai.

Telangana mein Baldi intikhabaat ke liye zila Nizamabad mein rally se khitaab karte hue Hyderabad ke rukan-e-parliment ne kaha ”RSS ke sarbarah Mohan Bhagwat ne do bachon ki policy par zor diya hai “. unhon ne kaha ke BJP hukoomat pichle saadhay paanch saloun mein kisi ko rozgaar faraham karne mein nakaam rahi hai.

Owaisi ne kaha ke mulk ki 60 feesad abadi 40 saal se kam Umar walay afraad ki hai. unhon ne ilzaam lagaya ke RSS aur markaz mein Narendra Modi hukoomat nojawanon ko rozgaar faraham nahi kar payi hai.

Owaisi ne kaha, 2018 mein, har roz 36 be-rozgaar nojawanoun ne khud kushi ki. magar hukoomat un bachoun ko khud kushi karne se rokne  mein nakaam rahi hai. Owaisi ne kaha aap do bachon se mutaliq qanoon banane ki baat karte hain. BJP ke kayi rehnumaoun ki tarhan mere bhi 2 se ziyada bachay hain.

Unhon ne  kaha ”ek baar modi sahib ne har saal 2 crore nokriyan dene  ki baat ki thi. Owaisi ne kaha, jab mein mulaazmaten faraham na karne par baat karta hon to wo kehte hain ke Owaisi ishteal angaiz taqreer karte hain. –YTN STAFF