India

Owaisi musalmanoun ke thekeydaar nahi: Salman Nizami

By News Desk Roman Urdu

November 11, 2019

Hyderabad: Babri Masjid muqadma mein Supreme Court ke faislay ke baad Muslim tabqa 2 hissoun mein munqasim hogaya hai jis mein ek Zumra Supreme Court ke faislay ko na-insafi par mabni mayoos kan faisla qarar deraha hai to dosra tabqa usay moujooda halaat aur mustaqbil mein musalmanoun ke jaan-wo-maal ke aman ke tanazur mein ek behtar faisla tasawwur kar raha hai aur isi douran siayasi Leaders ki bayan baziyan aur apne nazariyat se ikhtilaaf ke darmiyan ek dosray par tanqeed ka silsila bhi chal padha hai jis mein Telangana ke dar-ul-hukoomat Hyderabad se taluq rakhnay walay siayasi leader Asaduddin Owaisi  sar-e-fehrist hai.

Congressi leader Salman Nizami ne All India majlis-e-ittehaad-ul-Muslimeen (AIMIM) ke sadar Asaduddin Owaisi per tanqid ki hai. unhoun na kaha ke 5 acres zameen ko mustard kyun kiya jaye? Owaisi Musalmanoun ke thekeydaar nahi hai. yaad rahay ke Ayodhya muamlay par Supreme Court ke faislay par Owaisi ney kaha hai ke 5 acres zameen ki pesh-kash wapas dena chahiye. Muslim ghareeb hai, lekin itnay gaye-guzray bhi nahi ke Masjid bananay ke liye hum paisa jama nahi kar sakte hain. Salman Nizami nay kaha ke hamein Masjid ki taamer zurori hai, ek aisa idaara bhi jahan hindu aur muslim dono ek sath mutalea kar sakte hai. kisi ko bhi mayoos honay ki zaroorat nahi hai. sirf misbet-tawanai aur khayalat ko hi nafrat se nimta ja sakta hai.

Supreme Court ke tareekhi faislay par Asaduddin Owaisi  ne sawal uthatay hue kaha ke Muslim Personal Law Board ki tarhan hum bhi faislay se mutafiq nahi hai, Supreme Court se bhi chowk ho sakti hai. jinhon ney Babri Masjid ko giraya, inhen trust bana kar Ram Mandir bananay ka kaam diya gaya hai. Owaisi ne kaha ke agar Masjid wahan par rehti to Supreme Court kiya faisla lete. ye Qanoon ke khilaaf hai. Babri Masjid nahi girti to faisla kiya aata hai. hamein Hindustan ke Aeen-Dostoor par etemad hum apne haq ke liye ladh rahay they. 5 acres ki zameen ki khairaat ki zaroorat nahi hai. Muslim ghareeb hain, lekin masjid bananay ke liye hum paisa jama kar sakte hai. –YTN STAFF