Osmania university

Hyderabad

Osmania university ke ladies hostel mein aadhi raat ko ajnabi mard ka daakhil hona, hifazati intizamia per sawaliya nishaan

By News Desk Roman Urdu

August 16, 2019

Hyderabad:  Hyderabad ke taleemi idaroun mein Osmania university nah sirf shehar ki qadeem university hai balkay usay aalmi shohrat bhi haasil hai lekin yahan talibat ke hostel mein pesh aaye waqiya ne khawateen ke liye university campus mein kiye jaaney walay hifazati intizamaa par sawalia nishaan laga diya hai kyunkay raat 3 :10 bajay koi ajnabi mard kis tarha ladies hostel ke Bait-ul-khala may daakhil ho sakta hai aur phir chaaqo ki noke par talibat ko dara dhamka sakta hai.

Tafseelaat ke mutabiq Osmania university ke campus mein moujood B.tech ki Taliba raat may bait-ul-khala gayi thi lekin is ne bait-ul-khala ke hudood mein kisi mard ki aawaz suni jis par is ne bait-ul-khala  ka darwaaza band karliya lekin iske bawajood woh oopar se chalang laga kar andar daakhil hua aur 21 sala Taliba ko chaaqo ki noke par darane aur dhamkane laga. dono ki guftagu suneney ke baad hostel ki deegar talibat fouran is muqam par pohanch gayi jahan se aawazen aa rahi theen. jaisay hi talibat ko jama hota dekha aur khatray ki ghanti bajne lagi to is shakhs ne raah faraar ikhtiyar ki.

Tafseelaat batatay hue university police station ke inspector S Raj Shekhar Reddy ne kaha ke B.tech ki 21 sala Taliba Shanti jo ke Phd scholar hai aur apni taleem ki gharz se yeh Osmania university ke campus mein mojood hai, unke sath yeh waqiya pesh aaya. Mujrijm ki giraftari ke liye police nah sirf dastyab sabutoun ko jama kar rahi hai balkay CCTV camera ki madad se is fard ki giraftari ko yaqeeni bananay ki karwai shuru ki jachki hai.

Raah faraar ikhtiyar karte waqt is shakhs ne ek mobile bhi qareeb ke kamrah se utha liya tha lekin thodi door par yeh mobile tabah shuda haalat mein dastyab hua. media numaindon se izhar-e-qayal karte hue Phd ki Taliba Shanti ne kaha ke university ke campus mein mojood pichli deewar ki oonchai kaafi kam hai aur is choti deewar se chalang laga kar aksar yahan qareebi ilaqay academic ke log campus mein daakhil hotay hain. is Taliba ne yeh bhi kaha hai ke mutadid martaba is deewar ke zareya berooni afraad ke andar daakhil honay ke masla par tavajja mabzol karwai gayi lekin hunuz koi karwai nahi ki gayi hai. doosri janib police ne dafaa 457, 380, 354 aur 506 ke tehat ek muqadma darj karte hue tehqiqaat ka aaghaz kardiya hai. –YTN STAFF