Jurm

Online harasani aur tashadud, 58 feesad khawateen mutasir

By News Desk Roman Urdu

October 07, 2020

New Delhi: Ek taaza tareen aalmi survey jo kay 22 mumalik mein kiya gaya hai is mein inkishaaf huwa hai ke online harasani aur bud sulooki ka sab se bada hadaf ladkiyan aur nojawan khawateen hain. State of the World ki Girls Report ke unwan se Bartania mein qaim insaan dost tanzeem Plan International ke zareya kiye gaye is survey mein Hindustan, Brazil, Nigeria, Spain, Australia, Japan, Thailand aur dunya ke 22 mumalik ki 15 taa 25 saal ki 14 hazaar khawateen shaamil hain. America mein 11 October ko ladkiyon ke aalmi din se pehlay is survey mein roshni daali gayi ke 58 feesad khawateen ne Facebook, Instagram, Twitter, WhatsApp aur TikTok jaisay mukhtalif Social Media Platforms par online harasan ya bud sulooki ka saamna kar chuki hain. Mutasirah khawateen ki sharah poori duniya ke mukhtalif khitton ke liye yaksaa thi.

Europe mein 63 feesad ladkiyon ne harasan kiye jane ki ittila di, Is ke baad lateeni America mein, 60 feesad, Asia behar ul kahal ke khittay mein 58 feesad, Africa mein 54 feesad, Aur shumali America mein 52 feesad ladkiyon ko harasan kiya gaya. Jinsi tashadud ke dhamkion se le kar nasal parastana tabsaray aur online harasani, Nojawan khawateen ko online harasan karne ki koshish mukhtalif tareeqon se ki gayi thi. Jin ladkiyon ko harasan kiya gaya hai un mein 47 feesad ko jismani ya jinsi tashadud ki dhamkian di gayeen hain, Jabkay 59 feesad ko online zabaan mein gaali aur tauheen amaiz zabaan ka saamna karna pada hai.

Aqliat aur LGBTQ + jamaaton se talluq rakhnay wali khawateen ki ek badi tadaad ne bataya ke un ki shanakht ki wajah se inhen harasan kiya gaya. Jin ladkiyon ko harasan kiya gaya un mein 42 feesad ladkiyon ne khud ko aqliat aur LGBTQ + ke tor par shanakht ki. 14 feesad jinhon ne khud ko mazoor honay ki hesiyat se shanakht kiya aur 37 feesad jinhon ne khud ko nasli aqliat se shanakht kiya, Ne kaha ke inhen pareshan kiya gaya hai. Yeh survey 1 April se 5 May tak kiya gaya jis mein ladkiyan aur nojawan khawateen apne harasan karne walon ke baray mein kuch nah kuch janti hain.

Un logoun ke muqablay mein ajnabi afraad ki taraf se harasan karna ziyada khofnaak tha. Jab ke survey mein shaamil 11 feesad ladkiyon ko mojooda ya sabiq ​qareebi saathi ne harasan kiya, 21 feesad doston ki taraf pareshan kiya aur 23 fi sad school se apne harasan karne walon ko jantay thay ya kaam ke maqam se woh inhen janti hain.