India

Oman ke Sultan ki mout par Hindustan ne ek din ke sog ka Kiya elaan

By News Desk Roman Urdu

January 12, 2020

New Delhi : Hindustan ne itwaar ke roz, Oman ke Sultan qaboos bin said al said ki wafaat par reyasti sog ka elaan kiya, jo taqreeban 5 dahaiyo tak arab mulk par hukmurani ke baad 79 saal ki Umar mein 10 January 2020 ko intqaal kar gaye. Wizarat-e-dakhla umoor ne ek paegham mein kaha, jis mein tamam riyaston ke chief securities aur tamam markazi khittoun ke muntazmeen ke sath mushtarqa tabadlah khayaal kiya gaya hai.

Oman ke Sultan Qaboos bin said al said ka 10 January ko inteqaal hogaya. Marhoom ke mazzin ke ehteram ke tor par hukoomat-e-hind ne faisla Kiya hai ke 13 January ko mulk bhar mein ek din ka sog manaya jayega“. 13 January baroze peer ko Hindustan mein qaumi parcham nisf lahraya jayega. aur sarkari tor par koi bhi taqreeb munaqqid nahi hogi.

Idhar Oman ka qaumi parcham bhi 40 din tak sir nagoun rahega. Oman mein 3 din sog mananay ka elaan Kiya gaya hai. wazeh rahay ke Sultan ban Qaboos ki taleem wo tarbiyat Hindustan mein hi hoyi thi.

Ittila ke mutabiq, Sultan Qaboos ne mohar band lifafay mein apna wasiyat nama choda hai. khaleeji mumulk ke khittay mein lambay arsay tak hukmurani ka record rakhnay walay Qaboos kuch arsay se aleel they. unhon ne apne waalid se baghawat karte hue 1970 se Oman mein hukoomati umoor ki baag dor sambhaal li thi.

Oman ko jadeed tarz par taraqqi se hum aahang karne mein Sultan Qaboos ka ahem kirdaar raha hai. hamsaaya arab mumalik, muslim duniya aur Israel ke sath bhi Qaboos ne dostana taluqaat ustuwar kar rakhay they. Saudi arab aur Yemen ke houthi baghion se Sultan Qaboos ke taluqaat kaafi behtar rahay hain. Iran johri moahida karne mein Sultan Qaboos ke rule ko kabhi faramosh nahi kiya ja sakayga. -YTN STAFF