Hyderabad

NRC ke zareya BJP apne 30 feesad Vote aur hukoomat ko mehfooz karne ki koshan : Aamir Ali Khan

By News Desk Roman Urdu

January 13, 2020

Hyderabad: Sundry Viklang Kendram mein forum baraye tahaffuz aaeni haqooq ke zair e ihtimaam CAA NRC PRK khilaaf ek seminar munaqidah huva jis mein kayi danishwaroun ne khitaab kiya. Is seminar ko mukhatib karte hue news editor roznama siyasat Aamir Ali Khan ne kaha kay CAA  NRC NPR mehez samaaj mein nafrat ki deewar ko wusat dainay ke ilawa kuch aur nahi hai. Unhoun ne kaha ke NRC ke hawalay se Detention Center ki baat ki jarahi hai aur agar hum jailoun mein jaane ko tarjeeh denge to hukoomat ko mulk bhar mein 66 hazaar Detention Center ki taamer karni padegi jabkay Assam mein ek tehweli markaz mein 3 hazaar ke qareeb logoun ku rakha jata hai is ki taamer ke liye 45 crore ki laagat aayi hai. Markazi hukoomat kawab is baat ka faisla karna hai ke wo Hindustan ki girty maeeshat ke bawajood 66 hazaar tehweli marakaz ki taamer ke liye paisa kahan se laaye gi. sundry viklang kendram mein Forum baraye tahaffuz aaeni haqooq ke zair e ihtimaam CAA  NRC NPR ke khilaaf munaqidah seminar se khitaab karte hue Aamir Ali Khan ne kaha ke mein is baat ko tasleem kartahoun ke Modi hukoomat Hindu aur Musalmanoun mein taqseem chahti hai taakay hindoun ko mothahed kere aur un ke nishanay par mulk ke wo 30 feesad Hindu hain jinhoun ne Modi aur BJP ko vote day kar muntakhib kiya hai aur wo chahtay ke 30 feesad abadi aur un ke votoun ke zareya Iqtidaar par qaim rahen. Yahi Wajeh hai ke wo mabaqi 70 feesad mein taqseem peda kar rahay hain chahiye wo hindu ya musalmanoun ho SCST ya BC rahen. Anay walay dinoun mein agar NRC nafiz hoga aur an NPR ke zareya hum Rashan Card Aadhaar Card yaksi aur dastawizaat ke indraaj ke zareya shehriat saabit karne ki koshish karen ge to hukoomat hamari shehriat ko tasleem karne se inkaar karde gi.

Unhoun ne kaha ke ye maamla kisi hindu ke sath bhi ho sakta hai aur khaas tor par un ke sath is ke ziyada khadshaat hain jis ka talluq SCST aur BC si tabqaat se hai. Jab wo shehriat se mahroom hojayega to usko ya to tehweli markaz mein daal diya jayega ya phir awaroun muyeshoun ki terhan hukoomatoun ki maraatoun se mahroom hokar sadkoun par ghoomnay par majboor hojaye ga.

Unhoun ne kaha ke is ke baad ye marhala aeyega ke hukoomat is ko bator hindu shehriat dainay ki baat kere gi taakay is ka SCST BC muaqqaf khatam kardiya jaye. Is ka maqsad pasmandagi kashkar tabqaat ko jo maraat faraham kiye jatay hain is ko khatam kardiya jasakay. Janab Aamir Ali Khan ne Engressi hukumranoun ke nafiz kardah qanoon ka is ke liye hawala bhi diya aur kaha ke Modi hukoomat ne aisi 11 qanoon manzoor kiye hain jo aini haqooq par mushtamil hain jis mein se ek Anglo Indian community ki har Assembly mein mehfooz ek set ke qanoon ki barkhastagi hai. Bill manzor bhi hogaya aur is qanoon ko mustard bhi kardiya gaya hai. Unhoun ne kaha ke is ke baad se saaray mulk ki Assemblion mein isaai aawaz ko munazzam saazish ke tehat barkhast kardiya gaya hai. –YTN STAFF