India

NRC ke Coordinator Hitesh Dev Sharma ke khilaaf Supreme Court ki karwai

By News Desk Roman Urdu

January 06, 2020

New Delhi: Supreme court ne aaj Assam hukoomat ko ye hidayat di hai ke wo qaumi shehriat register ( NRC ) ke Coordinator Hitesh Dev Sharma apni kuch qabil aitraaz Facebook postoun hazf karen. Alawa azeen Supreme court ne Dev sharma ke taqarrur par bhi hukoomat se wazahat talabb ki hai aur kaha hai ke 4 haftoun mein jawab daakhil kiya jaye. Dev Sharma ne Assam mein reh rahay Bangladeshi musalmanoun ke baray mein post ki hai jis par sakht tanqeed ki ja rahi hai.

Dev Sharma ko Prateek Hajela ki jagah ye zimma daari guzashta saal November mein sonpi gayi thi. Sharma ke taqarrur ke baad Barpeta se congress ke rokan parliaman Abdul Khaliq ne riyasat ke wazeer aala Sarbananda Sonowal ko is faisla par az sar o ghhor karne ka mutalba karte hue khat likha tha. Abdul Khaliq ne Sharma ki Facebook post ka hawala dete hue likha ke wo ghair janib daar nahi hain aur nahi hi qabil aitbaar hain. Chief justice S.A. Bobde ki sadarat wali bench ne Assam hukoomat se kaha ke wo no muntakhib Coordinator ki qabil aitraaz post se mutaliq tehqiqaat kere aur ye yakeeni banaye ke ye post delete kar di jayen.

Is douran markazi hukoomat ne adalat ko yaqeen dilaya hai ke Assam NRC mein jin logoun ke naam shaamil kiye gaye hain lekin un ke bachoun ke naam shaamil nahi hain, Inhen filhal alehda nahi kiya jayega. Attorney general K. K Vinugopal ne uzma se ye wada kiya. Ek ghair sarkari tanzeem ki taraf se daakhil darkhwast mein ye shikayat ki gayi hai ke detention center mein 60 bachoun ko is liye rakha gaya hai kyunkay un ki shehriat par faisla hona baqi tha. –YTN STAFF