India

Note bandi ke 3 saal mukammal Modi se maafi mangnay congress ka mutalba

By News Desk Roman Urdu

November 08, 2019

New Delhi : Congress ne Note bandi ke 3 saal mukammal honay par jummay ko poooray mulk mein muzahira karkay rallies nikalen aur kaha ke wazeer-e-azam Narendra Modi ko apne is tughlaqi farmaan ke liye mulk ki awam se maafi maangni chahiye.

Congress karkunoun ne qaumi dar-ul-hukoomat Delhi mein youth congress ke sadar Srinivas ki qiyadat mein reserve bank ke samnay dharna aur muzahira kiya aur kaha ke Modi ka ye dehshat gardana faisla tha aur inke is tughlaqi farmaan se mulk ko zabardast nuqsaan hua aur kayi logoun ki jaanen gayeen.

Unhoun ne kaha ke Modi ko kam se kam un logon ke ahal-e-khanah se maafi maangni chahiye jinhon ne is farmaan ki wajah apne logoun ko khoya hai.

Unhoun ne kaha ke unke karkunaan pooray mulk mein is faislay ke khilaaf muzahira kar rahay hain. Youth Congress ke karkunaan riyasatoun ke sadar muqamat aur jin shehroun mein reserve bank ki marakaz hain wahan bhi muzahira kar rahay hain.

Delhi mein tanzeem ke headquarters se taqreeban 500 karukunan reserve bank ki taraf juloos banakar niklay lekin parliment street par reserve bank ke nazdeek ke sath polis ne inhen rok diya. muzahiray mein shaamil congress karkunaan hathoun mein takhtiyan aur banner liye Modi hukoomat ki policies ke khilaaf naaray baazi kar rahay they.

Muzahireen mein khawateen aur Note bandi se mutasir aam aadmi bhi shaamil they. muzahira ne mulk ki kharab maeeshat ke liye Modi hukoomat ko zimmedaar qarar diya aur kaha ke wo 8 November ka din apni zindagi mein bhool nahi satke kyunkay isi din 3 saal pehlay inhen note bandi ka dard jhelna padha tha.

Muzahira kar rahay kaarkunoun ne kaha ke Note bandi se lakhoun mulazimatein chali gayeen aur muashi taraqqi mutasir hui. ghair munazzim shoba buri tarhan mutasir hua aur kayi choti companian barbaad hogayin. –YTN STAFF