Trending News

Nitinyahu corona se mutasir hogaye?

By News Desk Roman Urdu

June 02, 2020

YERUSHALAYIM: Israeli wazeer e azam Binyamin Netanyahu‏‏ aur un ki hukoomat ke 2 wuzra ke corona ke mareez se mil jol ki wajah se khud corona ki waba ka shikaar honay ka shuba hai jis ke baad inhen allag thalag kiya ja sakta hai. Israel ke Ibrani TV channel 13 neh kaha ke Wazeer e Azam Nitinyahu ke daftar mein kaam karne walay ek mulazim ko coronavirus ka infection huwa tha. Is ka tibbi muaina kiya gaya jis par wo corona ka musadeqa mareez nikla. 

Israel channel ke mutabiq tibbi tehqiqaat ke baad coronavirus se mutasirah mulazim haftay ko wazeer e azam ke daftar mein duty par tha. Hukkaam is baat ki chhaan bain kar rahay hain ke aaya corona mareez ke wazeer e azam ke qareeb rehne se Nitinyahu mutasir huve hain ya nahi. Khayaal rahay ke Nitinyahu is se qabal bhi 2 baar mushtaba corona mareezoun se mil jol aur aisay rehnumayoun jo baad mein corona ke mareez niklay se mulakatoun ke baad Quarantine muntaqil kiye ja chuke hain.

Guzashta roz tak Israel  mein is corona ke mareez 4247 mamlaat samnay aaye jab ke isi roz mazeed 15 mareez halaak hogaye they. Mahireen ko khadsha hai ke Israel mein corona se hazaroun afraad ki zindagioun ko khatrah la-haq hai. –YTN STAFF