Srinagar : Wadi Kashmir mein qareeb do mah se jari namsaad aur ghair yakheeni sorat-e-haal ke baais jahan shoba taleem sab se ziyada mutasir hua hai wahein schoolon se le kar universition ke talba sab se ziyada pareshan aur mutfakir hain kyunkay Imtehanat qareeb arahay hain lekin padhai mein dil bhi nahi lagta hai aur muqarara nisaab ka nisf hissa bhi mukammal nahi hua hai.
Yaad rahay ke intezamia ne chand haftay qabal high school satah tak ke school kholnay ka elaan kiya tha lekin un schooloun mein bachon ki haazri nah honay ke barabar darj ki jarahi hai. is douran sobai commissionaire Kashmir Baseer Ahmed Khan ne tamam zila Majistrate aur mutaliqa ohdedaron ko hidaayat di hai ke haier Secodnary satah tak ke tamam sarkari aur khangi schooloun mein kaam kaaj ko 3 october tak yakheeni banaya jana chahiye aur collegeon ko 9 october se pehlay khoola jayega.
12 jamaat ke ek taalib-e-ilm ne kaha ke hum ne nisf nisaab bhi mukammal nahi kiya hai jabkay doosri taraf Imtehanat qareeb arhay hain. unhon ne kaha hum ne nisf nisaab bhi mukammal nahi kiya hai jabkay doosri taraf Imtehanat nazdeek aarhay hain kyunkay intezamia ne waqt par Imtehanat munaqqid karwane ka elaan kiya hai jiski wajah se hamari zehni pareshaaniya badh rahi hain ke aaya imthehaan mein parche kis qisam ke ayenge.
10 aur 12 jamaat ke talba par mushtamil ek group ne kaha ke tution ke zariye husool taleem school mein padhnay ka qatee nam ab nahi hai. unhon ne kaha hum nisaab mukammal karne ke liye tution jatay hain lekin school mein ilm haasil karne aur tution ke zariye taleem haasil karne mein zameen aasman ka farq hai, school mein taleemi mahol hota hai jo nah sirf tehseel ilm mein madadgaar saabit hota hai balkay doosri sar garmion ke liye bhi mufeed hota hai.
Ek ustaad ne naam makhfi rakhnay ki shart par kaha ke mojooda namsaad sorat-e-haal se bachon ke nafsiat par manfi asraat muratab hue hain bachay agar school atay bhi hain lekin un mein padhai ki taraf koi dilchaspi nahi hai, woh anay se pehlay jaane ki fikar mein rehtay hain. unhon ne kaha ke class mein zaheen aur mehnati bachay bhi aaj kal padhai ki taraf mutwajjah nahi hain. 9 jamaat ke ek taalib-e-ilm ke waalid ne kaha ke mera beta padhnay ke bajaye ab din bhar cricket khelta rehta hai mein bhi isi mein khush hon ke kam se kam zehni pareshani se mehfooz reh payega.
Qabil-e-zikar hai ke wadi mein jari namsaad sorat-e-haal ke baais taleemi shoba sab se ziyada mutasir ho raha hai agarchay kayi walidain ne apne bachoun ko husool taleem ke liye beron riyasat rawana kar rahay hain lekin beshtar talba khaas tour par ghareeb gharanon ke talba ka taleemi mustaqbil tabahi ke dhanay par pohanch gaya hai. –YTN STAFF