New Delhi: Supreme Court ke chief justice Sharad Arvind Bobde ne dar-ul-hukoomat nai Delhi mein Nirbhaya ijtimai jinsi zayad-ti ke muqadmay ke mujrim Akshay ki nazar sani ki arzi ki sunwai se khud ko allag kar liya. Justice Bobde, Justice R Bhanumati aur justice Ashok Bhushan ki khusoosi bench ne jaisay hi samaat shuru ki, Chief Justice Bobde ne samnay rakhi file uthai aur guzashta hukum padhna shuru kiya unki nazar ek jagah ruk gayi aur unhoun apni baen janib baithy justice Bhushan se mahswara kiya.
Unhoun ne kaha ke is muqadmay mein unke bhtije Arjun Bobde ne mutasirah ke ahal khanah ki janib se pairwi ki thi. Halaank Solicitor General Tushar Mehta ne kaha ke unhein koi aitraaz nahi hai lekin unhoun ne khud ko allag karne ka faisla kiya. Chief justice ne kaha ke is muamlay ki samaat kiye liye allag se bench tashkeel denge aur kal subah 10:30 bajey nai bench samaat kere gi.
Yaad rahay ke mein Delhi ijtimai aabrorizi ki mutasirah Nirbhaya ki Maa ne is muamlay mein mout ki saza panay walay 4 afraad mein se ek ki nazar sani darkhwast ki mukhalifat ke liye Supreme Court se rujoo kiya hai. Akshay Kumar ne Supreme Court ki janib se 2017 mein usay sazae mout sunaye jaane ke faislay par nazarsani ke liye arzdasht daakhil ki thi jis par aaj sunwai ka aaghaz huva. –YTN STAFF