India

Nirbhaya ke qusorwaroun ko 3 March ko phansi di jaye gi

By News Desk Roman Urdu

February 17, 2020

New Delhi: Nirbhaya esmat raizi aur qatal, Jis ne Hindustan ki tareekh mein ek siyah baab ka izafah kiya tha aur jis ki wajah se aalmi Media ne is janib apni khaas tavajja mabzol karte huve duniya bhar mein khawateen ki hifazat ke zimn mein kayi ek khabroun aur mazameen ko numaya kiya tha ab is ka ikhtitami manzar tehreer kardiya gaya kyunkay Nirbhaya esmatraizi aur qatal ke mujrimeen ko phansi dainay ki tareekh ka elaan kardiya gaya hai.

Delhi ke Patiala House court se jari taaza Death Warrant ke mutabiq ab charoun qusorwaroun ko ek sath 3 March ki subah 6 bajey phansi di jaye gi. Khabroun ke mutabiq Tihar Jail ke DG Sandeep Goel ko Death Warrant se mutaliq sarkari hukum nama sonpa ja chuka hai.

Naya Death Warrant jari honay ke baad Nirbhaya ki maa ne khushi ka izhaar kiya hai jo ke guzashta kuch dinon se adalti pechidigioun ke sabab kaafi mayoos nazar aa rahi then. Death Warrant jari honay ke baad Nirbhaya ki Maa ne kaha ke is faisla se mein bohat khush hon. Ab bas wo jari ki gayi tareekh 3 March ko phansi par latak jayen. Unhoun ne mazeed kaha ke mein 7 saal se jaduchahed kar rahi hon aur umeed hai ke ab 3 March ko Nirbhaya ke qusorwaroun ko phansi ki saza mil jaye gi.

Nirbhaya ki janib se muqadma lad rahi wakeel seema ne kaha ke Nirbhaya ke sath mulk ki deegar betiyan jo insaaf ke intezaar mein hain, Un ko bhi mulk ke adalti nizaam par umeed jagay gi. Un ko bhi insaaf mil sakta hai agar Nirbhaya ko insaaf mil sakta hai. Nirbhaya ke waalid ne is mauqa par apna rad e amal zahir karte huve kaha ke hum adalat ke faislay se khush hain. Qusorwaroun ko ab jald saza milni chahiye.

Nirbhaya ke qusorwaroun mein se ek Vinay Sharma is waqt bhook hadtaal par baith gaya hai. Adalat ne Tihar Jail ke Superintendent ko hidaayat di hai ke wo zabtoun ke mutabiq sabhi qusorwaroun ki dekh bhaal ki jaye. Waqt waqt par sabhi qusorwaroun ki tibbi jaanch karwaye janay ki khabrain aati rahi hain. –YTN STAFF