India

Nirbhaya ke mulzmin ko 20 March ko phansi di jaye gi

By News Desk Roman Urdu

March 05, 2020

New Delhi: Patiala House Court ne Nirbhaya esmatdarri muamlay ke qusorwaroun ko phansi par latkanay ke liye jumaraat ko naya Death Warrant jari kiya. 4 qosorwaroun ko 20 March ko Tihar Jail mein phansi par latkaya jaye ga. Nirbhaya muamlay ke qosorwaroun Pawan Gupta, Mukesh Singh, Vinay Sharma aur Akshay Kumar Singh ko phansi dainay ke liye ye chothi martaba Death Warrant jari kiya gaya hai. Is se qabal charoun qosorwaroun ko phansi dainay ke liye 3 martaba Death Warrant jari kiye gaye thay lekin qanooni ruukawatoun ki wajah se tenu martaba phansi multawi karni padi thi. Ab qosorwaroun ke paas koi qanooni mutabadil nahi bacha hai. Charoun qosorwaroun ko ab 20 March ko subah saadhay 5 bajey phansi dainay ke liye Death Warrant jari huva hai.

Alawa azeen Supreme Court ne shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ko challenge karne wali arziyoun par samaat jald karne ka mutalba jumaraat ke roz mustard kar diya. Kuch arzi guzaroun ki janib se senior wakeel Kapil Sibal ne Chief Justice Sharad Arvind Bobde ki sarbarahi wali bench ke samnay muamlay ka khusoosi zekar kiya aur jaldi samaat ke liye tareekh mukarrar karnay ki darkhwast di. Adalat ne kaha Sabarimala muamlay mein khawateen ke haqooq benam mazhabi rivayet muamlay ki samaat ke baad usay suna jaye ga. Aap Holi ki chhutti ke baad phir tareekh mukarrar karnay ki darkhwast den. Attorney General K.K Venugopal ne adalat ko bataya ke markazi hukoomat aglay haftay apna jawab daakhil kardey gi. Wazeh rahay ke CAA ko challenge karne wali 150 se zayed arziyan samaat ke liye zair iltiwa hain. Tamam arziyoun par markazi hukoomat ko Notice jari kiya gaya hai. –YTN STAFF