India

Nirbhaya ijtemai Ismat Dari case ke mujrimoun ko jald hi di jayegi mout ki saza

By News Desk Roman Urdu

October 31, 2019

New Delhi : Nirbhaya ijtimai Ismat Dari case mein baqi 4 mujrimoun ko jald hi mout ki saza sunai jayegi. Tihar jail Intezamia ne yeh baat kahi, unhon ne kaha ke agar saat din ke andar sadar jamhooria ke samnay challenge nahi kiya gaya to un charon mujrimeen ko sazae mout di jayegi.

Tihar jail ke intizamia ne is silsilay mein mujrimon ko notices bhi jari kar diye hain.

4 mujrimon mein se 3 ko tihar jail mein saza sunai jachuki hai, jabkay choutha mujrim Mandoli jail number 14 mein hai. tihar jail ke director general’ sandip Goel ‘ ke mutabiq, Dehli high court ke sath sath supreme court ne trial court ke zareya sazae mout ko Bar-qarar rakha hae. saza Yafta afraad ne sazae mout ko challenge karne wali ek darkhwast dair ki aur nazar sani ki bhi darkhwast ki hai. jabkay tamam mujrimon ne saza par nazar sani ki darkhwast nahi ki hai.

Wo saddar jamhooria se reham ki appeal kar sakte they, taakay sazaye mout ko Umar qaid mein tabdeel kiya jasakay. Magar unhoun ne ye nateeja akhaz kiya ke agar reham ki darkhwast dair ki gayi to jail intizamia trial court ko aagah karegi, jiske baad mujrimon ko death warrant jaree kiya jayega, aur woh dead warrant mujrimon ko phansi dainay ka ikhtiyar dega. –YTN STAFF