New Delhi: national investigation agency (NIA) jald hi Saudi arab se pounchanay ke baad jummay ki raat hyderabad airport se girftar kiye gaye SIMI ke aik mushtaba karkun azhar uddin se pooch taach shuru kere gi. agency 2013 ke bodh gaya aur patna bomb dhmakon ke waqeat ki tehqiqaat ke silsile mein azhar uddin urf chemical Ali se pooch taach kere gi
zaraye ka kehna hai ke azhar uddin par students islamic movement of India ( SIMI ) ke ohdedaron ko bomb dhmakon mein mulawis karne ka ilzaam hai aur iss ke phone call recorings se yeh zahir hota hai ke woh is se mustaqil raabtey mein tha .
wazeh ho ke 2013 mein, bodh gaya mein mahabodhi mandir ke ihatay mein kam se kam das bomb phatay they, mandir ke ihatay se ek cylinder bomb bhi Baraamad kiya gaya tha. 2018 mein, patna mein NIA ki ek khusoosi adalat ney 2013 mein bodhgaya dhamakay ke muamlay mein indian mujahideen ( IM ) ke paanch dehshat gardon ko mujrim qarar diya aur inhen Umar qaid ki saza sunai .
2013 mein, gujrat ke us waqth ke wazeer aala aur mojooda wazeer aaazm narendra modi ki patna ke gandhi maidan mein ek badhe inteqabhi jalsay mein bombo ka ek silsila phataa tha, jis mein 6 afrad halaak aur 80 se ziyada zakhmi hue thay. chhatees garh police nay azhar uddin ko jummay ke roz hyderabad ke rajiv gandhi bain ul aqwami hawai adday se Saudi arab se pounchanay ke fori baad hi girftar kya, jahan woh driver ki hesiyat se kaam karta tha .
senior superintendent police ( SP ) ne bataya ”raipur ka rehaishi azhar uddin bihar dhmakon ke silsila mein chay saloon se matloob tha. ATS aur chhattisgarh police ki mushtarqa team ne ittila milnay pr hyderabad ke rajiv gandhi bain ul aqwami hawai adday se girftar kya tha. woh –apne kumbe se milnay ke liye hindostan araha tha, jo hyderabad muntaqil ho chuka hai .