Newzealand

Slider

Newzealand ne test darja-bandi mein pehla maqam haasil karliya

By News Desk Roman Urdu

December 30, 2020

Mount aunganui. NewzeaLand ne chaharshambe ko 4. 3 over baqi rehtay Pakistan ke khilaaf do test matchon ki series ka pehla muqaabla 101 runs se jeet kar 1-0 ki bartari haasil karli hai. Newzealand is kamyabi ke sath ICC test darja bandi mein pehlay maqam par pahonch gaya hai.

Pakistan ne 373 runs ka taqub karte hue teen wicket par 71 run ke score se agay khelna shuru kya aur din ke ekhtataam se qabal sirf 4. 3 over pehlay hi Pakistan ki inning 271 runs per dher hogayi. Newzealand ko Pakistan ki inning semathnay mein aakhir tak jad-o-jehad karni pari. Fawad alam ne ektarfa jad-o-jehad karte hue 102 run banaye jabkay santner ne aakhri batsman Naseem Shah ko apni hi gaind par out karte hue Pakistan ki inning ka 123. 3 over mein ekhtataam kya. Newzealand is kamyabi ke sath ICC test darja bandi mein pehla maqam haasil karliya hai. Newzealand ke ab 117 nishanaat hogaye hain. Is se qabal Newzealand ke paas australia ke barabar 116 nishanaat thay lekin Hind say ke baad ki ginti mein Australia pehlay aur Newzealand dosray number par tha. Australia ko melon mein Hindustan ke khilaaf shikast ka saamna karna pada jabkay newzealand ne Pakistan ko 101 runs se shikast di jis ka usay darja bandi mein faida mila aur woh pehlay number par pahonch gaya.

Pehlay test mein newzealand ki pehli inning ke 431 runs ke badeay score ke jawab mein Pakistan ki pehli inning 239 runs par simat gayi thi. Newzea Land ne chouthay din apni doosri inning 5 wicket par 180 run par declare ki aur Pakistan ke samnay 373 runs ka mushkil hadaf rakha. Pakistan ne aakhri din shikast se bachney ki poori koshish ki lekin aakhri over mein iska challenge khatam hogaya.

Din ke aaghaz mein hi Newzealand ko is waqt ahem kamyabi mili jab sabiq captain azhar ali 75 ke majmoi score par pavilion lout gaye. Is mauqa par Fawad aalam ka sath dainay captain Mohammad rizwan aaye aur dono khiladion ne sambhal kar zimmay daarana andaaz mein batting ki lekin unki koshish bhi aakhri overs mein khatam hogayi.