Latest News

NewZealand ki Wazer-e-Azam Jacinda Ardern ko aman ka Noble inaam dainay ka mutalba

By News Desk Roman Urdu

March 26, 2019

Christchurch:  NewZealand mein masjid par dehshat gard hamloun ke baad musalmanoun se hamdardi ke baad ab social media par hazaro afraad ne Wazer-e-Azam Jacinda Ardern ko aman Noble inaam dainay ka mutalba kiya ja raha hai halaan ke dehshat gardon aur askriat pasand groups ki janib se inhen jaan se maardenay ki dhamkion ki khabrain bhi samnay aa rahi hain .

15 March ko Christchurch ki do masjid mein 50 namaziyon ki shahadat ke waqea ke baad Ardern ne musalmanoon ke sath jis hamdardi aur diljoi ka tarz-e-amal apnaya aur intahaa pasandana nazriaat ko mustard kiya is ne un ki shohrat ko chaar chaand laga diye hain aur yahi wajah hai ke social media par inhen noble inaam dainay ke haq mein ek muhim jari hai .

37 sala Ardern na sirf NewZealand balkay duniya ki kam Umar Wazer-e-Azam hain. Christchurch dehshat gard hamloun ke baad unhoun ne dehshat gardi ke khilaaf jurrat mandana muaqqaf ikhtiyar kiya aur muslim tabqay ke dukh mein un ke sath khadi huien. social media par ek darkhwast mein NewZealand ki Wazer-e-Azam ko noble aman inaam dilanay ka mutalba kiya hai. is darkhwast par hazaron afraad ne dastakhat kiye hain .

NewZealand herald ki report ke mutabiq Wazer-e-Azam Jacinda Ardern ko aman ke Noble inaam ke liye naamzad karne se mutaliq 2 qarar daad par dastakhati muhim shuru ki gayi. un qarardadoun mein ek change dot aur RG ki janib se muhim ke ibtidayi 4 dinon mein 3 hazaar se zayed dastakhat hogaye, jabkay france si Website aawaz dot RG  ki janib se doosri darkhwast par ibtidayi dinon mein hi ek hazaar se zayed dastakhat ho chukay hain .

 

 

 

Y THIS NEWS STAFF