NewZealand: NewZealand ke shehar Christchurch mein na maloom bandooq bardaroun ki janib se andha dhund goli baari ki gayi jis ke nateeja mein 49 logoun ki mout ho gayi, jabke 27 log zakhmi honay ki khabar hai.
Ye waqiya namaz-e- jumma ko paish aaya. jab Christchurch ki do masajid mein jummay ki namaz ke waqt bandooq bardaroon ne andha dhund go li baari ki. jis mein 49 logon ki mout ho gayi. 10 log lain wood ki masjid mein aur 30 log hagley park ke nazdeek Denzaiyu ki masjid mein maare gaye,is hamle mein zakhmi honay walon ko fouri hospital pouncha diya gaya.
Bataya ja raha hai ke hamla waroun ne siyah rang ke kapde pehnay hue they aur sir par helmet lagaye hue they, un mein se aik hamla aawar bandooq par camera laga kar golia barsa raha tha. is waqea ke baad NewZealand ki police ne maqam-e-waqea ka muhasra kar liya hai. sath hi yeh bhi ittila hai ke is waqea mein mulawis chaar mushtaba afraad ko hirasat mein le liya gaya hai. jin mein ek khatoon bhi shaamil hai. aur Newzealand police is muamlay ki jaanch kar rahi hai.
Police ne logoun ko kisi bhi masjid mein janay se rokkk diya hai. aur firing ke is waqea ke baad halaat ke paish-e-nazar shehar ke tamam schooloun ko band kar diya gaya hai .
Ek Bangladeshi sahafi ke mutabiq Bangladesh ki cricket team is haadsay mein baal baal bach gayi. masjid hagley park jahan par yeh waqea paish aaya. Bangladeshi khiladi namaz ada karne ke liye masjid mein moujood they. woh bach niklne mein kamyaab ho gaye. Aur poori team hagley park se Oval pohanch gayi hai .
NewZealand ki wazer-e-aaazm Jacinda Ardern ne masjid mein firing ke is waqea ko mulk ke liye siyah din se tabeer kiya hai. aur logoun ko mehfooz jagah par rehne ki darkhwast ki hai .