India

NDA aur Mahagathbandhan ke 21 umeedwaron ka apne qadeem hareefon se muqaabla

By News Desk Roman Urdu

October 17, 2020

Patna: Bihar ki qanoon saaz Assembly ke liye 28 October honay walay pehlay marhalay ke intikhabaat mein 71 nashiston mein se 21 nashistain hi hain jahan qaumi jamhoori ittehaad ( NDA ) aur Mahagathbandhan ke umeedwaron ka muqaabla apne puranay hareefon se hoga, Jin ka woh 2015 ke intikhabaat mein saamna kar chukay hain.

Bihar Assembly ki High Profile Seats mein shaamil zila Gaya ke Imamganj ( mehfooz ) halqa se NDA ke ittihadi Hindustani Awam Morcha ( HAM ) ke sadar aur sabeq wazeer aala Jitan Ram Manjhi intikhabi maidan mein apni taaqat deikhein get jahan se woh mojooda MLA bhi hain, Un ka muqaabla sabiq Assembly Speaker aur Mahagathbandhan mein shaamil Rashtriya Janata Dal ( RJD ) ke umeedwar Uday Narayan Choudhary se hoga. 2015 ke intikhabaat mein bhi yeh dono leaders aamnay samnay thay taham is intikhab mein Uday Narayan Choudhary ne Janata Dal United ( JDU ) ke ticket par muqaabla kiya tha aur woh HAM sadar Jitan Ram Manjhi se 29408 votes ke farq se haar gaye thay. Zila Gaya ki Sherghati seat se JDU ne mojooda MLA Vinod Prasad Yadav ku intikhabi maidan mein dobarah utaara hai. Doosri taraf RJD ne Manju Agarwal ko apna umeedwar namzad kiya hai. 2015 mein JDU ke rukan Assembly Vinod Prasad Yadav ne kamyabi darj ki thi, Jabkay Manju Agarwal ne guzashta intikhabaat mein azad umeerdwar ke tor par intikhab lada tha aur teesra maqam haasil kiya tha. Filhaal intikhabi maidan mein JDU ke umeedwar Vinod Prasad Yadav aur RJD ki umeedwar ke tour par Manju Agarwal ek martaba phir aamnay samnay hain .

zila Patna ke Masaurhi ( mehfooz ) nashist se rukhsat Pazeer MLA Rekha Devi RJD ke ticket par phir se intikhab lad rahi hain, Jin ka muqaabla  JDU ke ticket par intikhab ladnay walay Nitin Paswan se hoga. Saal 2015 mein bhi un dono umeedwaron ke darmiyan muqaabla huwa tha. Is intikhab mein Nitin Paswan ne HAM ke ticket par apni qismat aazmai thi lekin inhen RJD umeedwar Rekha Devi se 39186 votes ke farq se haar ka saamna karna pada tha.

Zila Banka ki Katoria ( mehfooz ) nashist se RJD ki umeedwar aur rukhsat pazeer MLA  Sweety Sima Hembram phir se apni qismat aazma rahi hain jahan un ka muqaabla Bhartia Janata Party ( BJP ) ki umeedwar Nikki Hembram se hoga. 2015 ke Assembly intikhabaat mein bhi un dono umeedwaron ke darmiyan muqaabla huwa tha jab RJD ki Sweety Hembram ne BJP ki Nikki Hembram ko 10337 votes ke farq se shikast di thi. Isi zila ki Doria ( mehfooz ) nashist se JDU ke MLA Manish Kumar ek baar phir intikhabi maidan mein khaday hain, Jahan Mahagathbandhan ke RJD ne sabiq membar of parliament Bhudev Choudhary  ko party ka umeedwar banaya hai. 2015 ke intikhabaat mein JDU umeedwar Manish Kumar ne BLCP ke umeedwar Bhudev Choudhary  ko 24154 votes ke farq se shikast di thi.

RJD ne zila Bhojpur ki Barhara nashist se mojooda MLA Saroj Yadav ku dobarah intikhabi maidan mein utara gaya hai, Jahan un se BJP ne sabiq wazeer Raghvendra Pratap Singh ko intikhabi maidan mein utaara hai. Wahan guzashta intikhabaat mein BJP ke ticket par intikhab ladnay wali Asha Devi Yadav is bar azad umeedwar ke tor par apni qismat aazma rahi hain. Saroj Yadav ne 2015 ke intikhabaat mein BJP umeedwar Asha Devi ko 13308 voton ke farq se shikast di thi. Raghvendra Pratap Singh ne 2015 ke intikhabaat mein Samajwadi party ( SP ) ke ticket par muqaabla kiya tha aur teesray number par rahay thay. Is baar tenu hareef ek baar phir aamnay samnay hain.